Apna akbar de diya allahu akbar ke liye

- Sahibe Aalam (2015)


Apna akbar dediya allah ho akbar ke liye
 
Imteha tha sakht ye mazloom e sarwar ke kiye

1) Umme laila se koi kahede kaleja thamle
horahi hai barchiya tayyar akbar ke liye

2) Baap ko kaise dikhaye sine mei barchi ka phal
marhala tha sakht ye maqtal mei akbar ke liye

3) Koi ab zainab se puche kya hai hum shakle nabi 
kitne bchcho ko kiya qurban akbar ke liye

4) Teen phal ka teer jo khaya to bachcha has diya
ek khilona chahiye tha pyase asgar ke liye

5) Khana kaba jo pukara shukriya tera hussain 
apna akbar dediya allah ho akbar ke liye

6) Sahibealam padho noha reza ne jo likha
Hai ye abbas marham khatoon e mehshar ke liye
Apna akbar dediya allahu akbar ke liye