Aa asghar

- Ali Shanawar and Ali Jee (2020)


Aa ali asghar aa..(5)

Aaa asghar bin tere, mai chayn kaha'n se paau..(2)
aa laut ke aaja laal tere, jee bhar ke naaz uthau..
Aaa asghar bin tere, mai chayn kaha'n se paau..(2)

1. Meri aankh ka taara hai tu
mujhko jaan se pyaara hai
maa dukhiyari ke jeene ka
tu hi laal sahara hai
tujhe chhod ke tanha maqtal mein
mai kaise shaam ko jaau

Aaa asghar bin tere, mai chayn kaha'n se paau..(2)

2. Teri wo masoom adayein
teri yaad dilati hai
tere pyaar ki wo sab baatein
mujhko bohot rulati hai
mai teri judayi mein beta
ro ro ke mar na jaau

Aaa asghar bin tere, mai chayn kaha'n se paau..(2)

3. Loriyo'n wale yeh to tere
naaz uthane ke din the
aankho'n mein teri khushiyo ke
khwab sajane ke din the
aa laut ke ashgar aa beta
tera kurta mai badlau

Aaa asghar bin tere, mai chayn kaha'n se paau..(2)

4. Bhool nahi sakti maa asghar
pyaase hoth tere beta
khaali god hai aur zindaa'n hai
aaja maa ke paas aaja
aa nanhe mujahid mai teri
ashko se pyaas bujhau

Aaa asghar bin tere, mai chayn kaha'n se paau..(2)

5. Kitni hai bechayn sakina
tere naaz uthane ko
subho shaam tarasti hai woh
tera dil behlane ko
teri laadli behen sakina ka
mai dil kaise behlau

Aaa asghar bin tere, mai chayn kaha'n se paau..(2)
aa laut ke aaja laal tere, jee bhar ke naaz uthau..
Aaa asghar bin tere, mai chayn kaha'n se paau..(2)
Aa ali asghar aa...