Aye Nasir e Hussain
- Hasan Abbas (2016)
Aye naseere hussain tujh par salaam ho
Subh e aashoor ka khursheed falak par nikla
Bandh ke sar pe kafan shah ka lashkar nikla
Shor tha ishq e husain ab to dikhaya jaaye
Khoon se aaj ye maqtal ko sajaaya jaaye
Apne kirdar ko meezaane amal meiñ tola
Aake maidan meiñ har eik sipaahi bola
Maut ka aaj hameiñ kuchh bhi nahiñ khaufo khatar
Apne mashooq se milne ka ye hi to hai hunar
Rab ne hamko hai chuna shah ki nusrat ke liye
Ambiya aaj tadapte haiñ shahadat ke liye
Aaj unko jo shahaadat ka sharaf batlaayeiñ
Sheh pe maidaan ke patthar bhi fida ho jaayeiñ
Tum samjte hoñ ke paani ke talabgaar haiñ ham
Apne maabood ki marzi pe giraftaar haiñ ham
Gar hussain ibne ali aik eshaara kar de
Ye nayastaan ko laashoñ se tumhari bhar de
Ye sukhan karte huve hurre dilawar nikla
Naar se khuld ki jaanib ye muqaddar nikla
Noor allah ka maidaañ meiñ nazar aata h
Yeh gunehgaar su e ibne ali jaata h
Ab sunaata huñ habeeb ibne mazahir ka safar
Haañ zaeefi se badan unka larazta tha magar
Ishq ka josh kuchh aise sare maqtal laaya
Baagh meiñ jaise koi bhooka parinda aaya
Tha muhabbat ka junooñ kuchh bhi nahiñ tan ki khabar
Muskura de te the chalte the jab ke teero tabar
Es tarhaa jaan wo shabbeer pe lutaa te haiñ
Jaise parwaane kisee shamma pe mit jaate haiñ
Zindagi kehte haiñ kisko ye bataaya tumne
Kaise hote haiñ musalmaan sikhaya tumne
Ishq ka jaam zamaane ko pilaaya tumne
Zulm ko sabr ki taaqat se haraaya tumne
Kaise ahewaal likhuñ qamare banee haashim ka
Aa ke maidañ meiñ basad fakhr sukhan karta tha
Gar hussain ibne ali aaye khareedi ke liye
Ek sau baar maiñ bik jaauñ ghulami ke liye
Kiski tareef karuñ kiska maiñ ahevaal likhooñ
Ho ke hairaan faqat aaj maiñ etna hi kahooñ
Sab ke sab deene muhmmad ka muqaddar nikle
Ishq taqseem kiya jab to bahattar nikle
Sheh ki midhat meiñ 'hasan' apne qadam bharta rahey
Ye junooñ nasle 'hasan' meiñ bhi safar karta rahey
Aye khuda uske tu daamaan ko ash'aar se bhar
Jab qalam usne uthaaya hai to aabad bhi kar