Chadar Dhikha Dhikha Kay

- Mir Hasan Mir (2020)


Chader na kafan hai dur watan hai 
Be Parda behan hathon mai rasan 
Haye zainab haye haye bazaar 
Chader na kafan hai dur watan hai 
Be Parda behan hathon mai rasan 

Abbas ki behan ko shami rula rahe hain 
Chader dhika dhika ke rasta bana rahi hain 
Bint e Ali ka fiza kante hata hata ke 

Pardes mai kisi per aesa na waqt ai 
Na mahramon mai koi yun be rida na jai 
Karte hain yeh duain ahl e haram ke bache 
Jholi utha utha ke 

Bhai behan ki ankhein nam hoti jarahi hain 
Bint e Ali ki sansein kam hoti jarahi hain
Khanjar chala raha hai Zainab ke dil pe zalim
Khanjar dhika dhika ke 

Ik bachi keh rahi hai ao madad ko baba 
Dadi ki tarha mai bhi ab ho gayi zaeefa 
Zakhmi kiya hai pehlu,naqay se zalimon ne 
Mujh ko gira gira ke 

Parde mai bhi jo bibi chalti na thi ziyada 
Pardes mai ab un par aya hai waqt kesa 
Layein hain shaam wale un shah zadiyon ko 
Paidal chala chala ke 

Wo shamiyon ke tane, wo muskurate chehre 
Be parda sath apne bint e Ali ko le ke 
Sajjad kese bholein us bheer se guzarna 
Nazrein jhuka jhuka ke 

Jate hain jis taraf bhi ahl e haram khule sar 
Khati hain pehle durra khati hain pehle phattar
Apne lahoo mai tar hain Zehra ki betiyon ko 
Fizza bacha bacha ke 

Zakhmo ki wo taqalum tadad jante hain
Mehdi ko bhi khabar hai sajjad jante hai 
Maare hain kis ne kitne Haider ki ladli ko 
Pathar utha utha ke