Abid ko jaha'n ghash aata hai

- Mir Hasan Mir (2020)


Aabid ko jaha'n Ghash aata hai, Durro'n se Jagaaya jaata hai,
Ek phool hai jis ko Kaanto par Din-Raat Chalaaya jaata hai..

(1) Abbas ki Gairat se aksar Aabid ki Aseeri Puchhti hai,
Kya chaar baras ki Behna ko Zinda'n mei'n Sulaaya jaata hai..

(2) Saadat ke Khaimey jaltey hai'n Sholo mei'n Ghiri hai Aal e Nabi,
Phir aaj Nabi ki Beti par Darwaaza Giraaya jaata hai..

(3) Reh-Reh ke Shah e Dee'n deikhtey hai'n Naizey se Sakina(س) ki Jaanib,
Lagta hai ke Pushte Naaqa se Bachhi ko Giraaya jaata hai..

(4) Bibi ko Qareeb e Laash e Jari Durro'n ki Aziyat detey hai'n,
Abbas ko tadpaaney ke liye Zainab(س) ko Sataaya jaata hai..

(5) Gairat ke sabab jis Bibi ne Ghar mei'n bhi na dekha Aayina,
Be-Parda usey laaney ke liye Darbar Sajaaya jaata hai..

(6) Bin byaah ke Akbar maarey gaye Armaan na nikley Baano ke,
Taboot pe Akbar ke Sehra kuch yu'n bhi Chad'haaya jaata hai..

(7) Wo Nouke Sina'n par Gairat se Rukta hi nahi'n Gir jaata hai,
Jab-Jab bhi Sar e Abbas e Jari Naizey pe Chad'haaya jaata hai..

(8) Pardey mei'n Bilal e Karbobala Roye na mera Moula kyu'n kar,
Afsos ke Turbat mei'n ab tak Zahra ko Rulaaya jaata hai