Bus ek chadar

- Irfan Haider (2020)


Haye Sajjad, Haye Sajjad
Dayaar e shaam mein sajjad ka ye nauha tha
jinke ghar se hua islam mein parda qayam
Haye afsos, wohi bibiya'n hui nang e sar
nawasiyo ko nabi ki logo nahi mayassar bus ek chadar..(2)

1. Haye sajjad, hussain ibn e ali ka beta
tauq o zanjeer pehen kar jo sue shaam chala
jiska ghairat ke sabab raah mein sar bhi na utha
duniya walo ne jise sabr ka mabood kaha
phuphi ki khatir, wo mangta hai..(2)
damishq jaakar, bus ek chadar

nawasiyo ko nabi ki logo nahi mayassar bus ek chadar..(2)

2. Qafla shehr e halab pohcha jo shiree'n ke ghar
aur mili shiree'n ko sadaat ke aane ki khabar
haye zainab ko na pehchan saki nek siyar
pucha shehzadi se tum kaun ho aye nauhagar
kaha ye zainab ne mangti hai..(2)
ali ki dukhtar, bus ek chadar

nawasiyo ko nabi ki logo nahi mayassar bus ek chadar..(2)

3. Umme kulsoom ye fizza se bayaa'n karti hai
bibiyo shaam ka bazaar abhi baqi hai
haye ghayyur baradar ki behen roti hai
naam bazaar ka aate hi tadap jaati hai
pukarti hai, kahi se laade..(2)
mere baradar, bus ek chadar

nawasiyo ko nabi ki logo nahi mayassar bus ek chadar..(2)

4. Al gharaz aa hi gaya raah mein bazaar e shaam
aisa mahaul tamashayi khade the har gaam
ek janib the udoo ek taraf tishna kaam
shimr ne aake kiya bint e ali se ye kalaam
bulaao abbas e bawafa ko..(2)
wo dede aakar bus ek chadar

nawasiyo ko nabi ki logo nahi mayassar bus ek chadar..(2)

5. Baabe sa'at pe sitamgar haram ko laaye
chand ghante isi manzil pe khade the pyaase
pucha sajjad ne kyu badhte nahi tum aage
shimr kehne laga darbaar saja de pehle
To boli mushkil kusha ki beti - 2
Aye baba haider bas ek chadar

nawasiyo ko nabi ki logo nahi mayassar bus ek chadar..(2)

6. Khatm hai nauha yahi mazharo irfane aza
dekha sajjad ne darbar me manzar gham ka
saat sau kursi nasheen aur nabi ka kunba
Ahle darbaar se sajjad ne rokar ye kaha

nawasiyo ko nabi ki logo nahi mayassar bus ek chadar..(2)

bas ek chadar - 2