Maqtal e Imam Hussain

- Mir Hasan Mir (2020)


Ghareeb e Zahra ki ghurbat suno aye ehle azaa..(2)
Akela reh gaya maqtal mein jab mera maula

Sipaah e shaam ne charo taraf se gher liya
Labe faraat tha har ek khoon ka pyaasa
tha ghul charagh e imamat abhi bujhana hai
zamee'n pe zeen se shabbir ko girana hai

Ye sunke sang kisine jabeen par maara
kisi ne pehlu mein barchi ka phal utaar diya
kisi ne saamne aakar chalayi tegh e jafa
ghareeb e Zahra ka zee'n par sambhalna mushkil tha
Ali o Zahra ko rann mein rulaya jaata tha
Hussain girte nahi the giraya jaata tha

Haaye,
Laga jo teer to asghar ko sheh ne yaad kiya
pukara ghazi ko jis waqt sar pe gurz laga
lagi jo barchi to akbar ko di tadap ke sadaa
tamacha khooli ne maara to bole Ya Zahra
Ali ko yaad kiya sar pe zarb chalte hue
Hasan ko yaad kiya mooh se khoo'n ugalte hue

Haaye,
Zamee'n pe zeen se hazrat jo muh ke bal aaye
jo teer seene mein the pusht se nikal aaye
nikal ke pehlu se sab barchhiyo'n ke phal aaye
qaraar kis tarha ab sheh ko ek pal aaye
rakaab payro se ibn e Ali ki chhoot gayi
tamaam pasliya'n sibt e nabi ki toot gayi

Rakam kiya hai yeh,
Rakam kiya hai yeh raavi ne dard ka manzar
ke chalne wala tha jis dum hussain par khanjar
behen se aage khadi thi hussain ki dukhtar
kaha yeh shimr se us dum ghareeb ne rokar
meri sakina,
meri sakina kahi'n dum na tod de zalim
rehem kar mere baalo'n ko chhod de zalim

Haaye,
padha tha dasht mein bejaa'n batool ka beta
hussain zinda hai kya shimr se kisi ne kaha
qareeb jaake ye ki shimr ne phir has ke sada
wo dekho aa gayi maqtal mein saniye zahra
ye sunte hi shahe dilgeer uth ke baith gaye
behen ke naam pe shabbir uth ke baith gaye

Haaye Hussain!
Yeh kehke aage badha haath mein liye khanjar
udhar tadapne lagi ek laash darya par
idhar khayaam se nikli batool ki dukhtar
ajeeb be adabi shimr ne ye ki aakar
zara si bhi na murawwat dikhayi zalim ne
kalam e paak ko thokar lagayi zalim ne

Haaye,
Ajab tarha se sitamgar ye kar raha tha sitam
kabhi hussain ki zulfo'n mein haath the baaham
pakad ke reeshe mubarak kabhi hasa azlam
hataya balo'n ko khanjar se shimr ne ekdum
kaha hussain ne dekho zara ali akbar
laee'n ne rakh diya zaanu hamare seene par

Haye,
Chali jo zarb, farishto'n ne muh ko pher liya
farishte kya the ke nabiyo'n ne muh ko pher liya
hate nabi to rasoolo'n ne ko muh ko pher liya
chale rasool to waliyo'n ne muh ko pher liya
Hasan, Rasool, Ali bole ab Khuda jaane
Hussain jaane, gala jaane, Fatima jaane

Haaye,
Ab iske aage takallum bayaan kya hoga
lagi jo zarbein na nikla lahu ka ek qatra
laeen ghaiz mein aakar sada ye dene laga
Hussain jaldi bata mojiza ye hai kaisa
kaha ghareeb ne tu pyaar maa ka kya jaane
gale pe mere gala rakh diya hai Zahra ne

Kaha Hussain ne amma hata le apna gala
mazeed aap ho zakhmi yeh ho nahi sakta
gale pe shaah ke khanjar laeen ka jo chala
gale pe shaah ke khanjar laeen ka jo chala
sada yeh aati thi subhana rabbiyal a'ala
pisar ka khoon baha Sayyeda ki godi mein
sar e hussain kata Fatima ki godi mein