Laash akbar ki jo maqtal se

- Miscellaneous (2014)

Laash akbar ki jo maqtal se utha laye hussain..(2)

chand ko shaam ke baadal se utha laye hussain..(2)
Laash akbar ki jo maqtal se utha laye hussain..(2)

1. Dekh le akhri deedar pisar marta hai
saamne aankho'n ke ye noor e nazar marta hai
dum hai seene mein ruka, zakhmo se khoo'n jaari hai..(2)
haye bano tera ghar lutne ki tayyari hai

chand ko shaam ke baadal se utha laye hussain
Laash akbar ki jo maqtal se utha laye hussain..(2)

2. Haath phayla ke ye chillai ke haye haye mere laal
raas aaya na mere bachhe ko attharwa saal
tukde tegho'n se badan hogaya saara haye haye..(2)
kaun tha jisne mere sher ko maara haye haye

chand ko shaam ke baadal se utha laye hussain
Laash akbar ki jo maqtal se utha laye hussain..(2)

3. Zakhmi hone ki khabar kisne meri pochayi
jhuth hai maine to hargiz nahi barchi khayi
marg se pehle ho matam ye suboo hai amma..(2)
mere kapdo pe to abbas ka khoo'n hai amma

chand ko shaam ke baadal se utha laye hussain
Laash akbar ki jo maqtal se utha laye hussain..(2)

4. Boli bano ke jo kehte ho khuda yu hi kare
aye mere laal ye maa teri balaa leke mare
mujhko maloom hua khalq se jaate ho tum..(2)
haye mere rone ki sabab zakhm chupate ho tum

chand ko shaam ke baadal se utha laye hussain
Laash akbar ki jo maqtal se utha laye hussain..(2)

5. Sab tere dil ki mere dil ko khabar hai beta
haath seene pa tera khoon mein tarr hai beta
san-sanata hai badan jaan chali jaati hai..(2)
is lahu se to mere doodh ki boo aati hai

chand ko shaam ke baadal se utha laye hussain
Laash akbar ki jo maqtal se utha laye hussain..(2)

6. Aye mere sher tujhe lutfe jawani na mila
dudh pee pee ke pale aur tumhe paani na mila
margaye mujhko dulhan bhi na dikhai beta..(2)
khaak mein mil gayi bano ki kamayi beta