Aye shaheed e insani

- Syed Muqarrib Raza Alipuri (2020)


Aye Shaheed-e-Insaani
Aye Shareek-e-Qur'aani,
Aaj Tak Dilo'n Par 
Hai Teri Hi Hukmeraani,
Zibh Kardiya Tujhko
Aur Nahi Diya Paani

Aye Shaheed-e-Insaani
Aye Shareek-e-Qur'aani

1) Jaan-e-Mustafa(s.a) Tum Ho
Jaan-e-Murtuza(a.s) Ho,
Jaan-e-Fatema(s.a) Tum Ho
Roohe Anbiya Tum Ho,
      Tum Muammae Kul Ho 
Juz-e-Shar-e-Qur'aani

Aye Shaheed-e-Insaani
Aye Shareek-e-Qur'aani

2) Marqade Nabi(s.a) Chhoota
Qabr-e-Fatema(s.a) Chhooti,
Roza-e-Hassan(a.s) Chhoota
Pyaari Dilruba Chhooti,
Iss Tarha Madeene Se Aale Mustafa(s.a) Chhooti,
Shehr Saara Sunsaa'n Thaa
Chha Gayi Thi Veerani

Aye Shaheed-e-Insaani
Aye Shareek-e-Qur'aani

3) Karbala Ki Manzil Bhi 
Kya Ajeeb Manzil Thi,
Peer Aur Jawaano'n Mein 
Nanhi Jaa'n Bhi Shaamil Thi,
Baad-e-Asr Zainab(s.a) Ko
Sabse Saqt Mushkil Thi,
 Bhook-o-Pyaas Ka Sehna
Qaafle Ki Nigraani

Aye Shaheed-e-Insaani
Aye Shareek-e-Qur'aani

4) Che Maheene Waale Ne
Teer Khaake Dam Toda,
Tera Saal Qasim(a.s) Ka 
Khoo'n Mein Bhargaya Joda,
Jaadae Haqeeqat Se
Na Kisi Ne Moo'n Moda,
Kaise Kaise Jaano'n Ki 
Pesh Kardi Qurbaani

Aye Shaheed-e-Insaani
Aye Shareek-e-Qur'aani

5) Bhai Ke Kate Shaane
Uff Nahi Kiya Toone,
Chhote Aqruba Saare
Uff Nahi Kiya Toone,
Haaye Jalgaye Qaeme
Uff Nahi Kiya Toone,
Lab Mile Toh Naeze Par
Bolte Toh Qur'aani

Aye Shaheed-e-Insaani
Aye Shareek-e-Qur'aani

6) Dhoop Wo Qayaamat Ki
Tera Aaqri Sajda,
Ishq-e-Haq Ki Manzil Thi
Tera Aaqri Sajda,
Fatema(s.a) Na Bhholegi
Tera Aaqri Sajda,
 Pusht Par Sitamgar Tha
Khaak Par Thi Paeshaani

Aye Shaheed-e-Insaani
Aye Shareek-e-Qur'aani

7) Zulm-o-Joar Ki Quavvat
Toone Tod Kar Rakhdi,
Kufr Ki Kalaai Bhi 
Toone Tod Kar Rakhdi,
Gardan-e-Yazeedi Bhi 
Toone Tod Kar Rakhdi,
 Thokro'n Mein Udta Hai
Uska Taaj-e-Shaetaani

Aye Shaheed-e-Insaani
Aye Shareek-e-Qur'aani

8) Ek Dopaher Mein Hi 
Ghar Ujad Gaya Tera,
Hai Furaat Par Abtak 
Bhayi Ka Tere Qabza,
Sar Ke Bal Ziyaarat Ho
Hai RAZA Ka Ye Mansha
Hind Mein Pareshaa'n Hai
Qaadim-e-Quraasani 

Aye Shaheed-e-Insaani
Aye Shareek-e-Qur'aani