Haye alamdaar

- Mir Hasan Mir (2020)


Haye alamdaar, haye alamdaar..(2)

Karte hai matam haram abbas ka
hogaya marna sitam abbas ka..(4)

Haye alamdaar, haye alamdaar..(3)
Kehte the qamar thaam ke ye sayyede abraar
Haye alamdaar, haye alamdaar..(2)

1. Ye haal hai laashe ka sambhala nahi jaata..(2)
teer aankh se bhai ki nikala nahi jaata
Imdaad ko aajaiye ya haider e qarrar
Haye alamdaar, haye alamdaar..(2)

2. Zainab ne teri aas pe chhoda tha madina
mai kaise batau use saqqaye sakina
mara gaya zainab teri chadar ka nigehdaar
Haye alamdaar, haye alamdaar..(2)

3. Tum qatl hue hum pe bhi chal jayegi shamsheer
aghyaar mein reh jaegi tanha meri hamsheer
zainab ki rida bachne ke baaqi nahi aasaar
Haye alamdaar, haye alamdaar..(2)

4. Jis tarha se ghar laye the masjid se Ali ko
us tarha se le jayenge khaime mein jari ko
akbar mere bhai ka janaza karo tayyar
Haye alamdaar, haye alamdaar..(2)

5. Bazu bhi qalam hogaye ae bazu e shabbir
tukde hai badan aankh mein paywast hua teer
kisne ye meri maa ki duao'n pe kiya waar
Haye alamdaar, haye alamdaar..(2)

6. Aati hai sada loot lo namoos e nabi ko
ab maarna aasa'n hai Hussain ibn e ali ko
marne pe tere jashn manate hai sitamgaar
Haye alamdaar, haye alamdaar..(2)

7. Akbar hume mushkil se bohot laaye hai bhai
maidaan mein girte hue hum aaye hai bhai
aakhein to zara kholo mere munis o ghumkhwaar
Haye alamdaar, haye alamdaar..(2)

8. Ek baat tumhein karb ki batlata hu bhaiyya
jab bhi koi masuma ke marega tamacha
ro ro ke pukaregi sakina tumhe har baar
Haye alamdaar, haye alamdaar..(2)

9. Tha mir takallum yehi shabbir ka nauha
jaate hue pura karo armaan hamara
aye bhai hume bhai pukaro zara ek baar
Haye alamdaar, haye alamdaar..(2)

Kehte the qamar thaam ke ye sayyede abraar
Haye alamdaar, haye alamdaar..(2)