Baba Abhi Mat Jaaeye
- Mir Sajjad Mir (2019)
Haye Baba mere baba zakhmi baba
Baba Abhi Mat Jaaeye
Mayyat Pe zainab ne kaha 
Aankhe to apni kholiye 
khamosh kyu hai boliye 
kya hogaye humse khafa
Mayyat uthi gar aap ki 
baba yahi mar jaongi
mujh mei nahi aab hounsla
eid aarahi hai babajaan
kese rahengi betiyaan
veeran ghar ho jaayega
kyon mere bazu chum ke
aayese tadap kar roye the 
batlaye kya yaad aagaya 
bazar kese jaongi
darbar kese janogi
mei seekh lo chalna zara
jitne bhi hai kofi khade
patthar na mare yeh muhjhe
kehdejiye inse zara
aata nahi usko chaeen
bhola nahi maa ko hussain
marjayega bhai mera 
ghabrayigi amma meri
ghuslo kafn ke baad bhi
khoon beh raha hai aap ka
parda chenega jab mera
aayenge milne karbala
yeh wada karlije zara
sajjad kesi thi ghadi 
roti thi khud binte ali 
jisdum yaateemo ne kaha