Dam ba dam ali ali pukar

- Mir Hasan Mir (2010)


Dam badam ali ali pukaar
har qadam ali ali pukaar
tere sune aangan me khilegi bahaar

1. Dar badar bhathakne ka kyun ye rog paala hai
sab ke sab bhikaari hain kon dene waala hai
un se maang oo'nton ki dede jo qataar

2. Paak hai lahu kis ka kis mein kya kharaabi hai
kon hai saqifaayi kon buturaabi hai
pal me sab ke chehro'n se hoga aashkaar

3. aal ki taraf gar tu ek qadam badhayega
das qadam zamaane se khud ko aage paayega
kyun ke ye nahi rakhte kisi ka udhaar

4. Ranj o gham ki raaho'n me bad hawaas betha hai
chal ali ki chokhat par kyun udaas betha hai
bas palak jhapakte hi hoga bedaa paar

5. Naam e faatahe khaibar gar tera vazifa hai
dur hogi har mushkil ye hamaara daava hai
khaali jaa nahi sakta tera koyi vaar

6. Chaahta hai gar tujhse Sayyada bhi raazi ho
khush ho khaaliq e akbar Mustafa bhi raazi ho
munkiraan e haidar pe karde beshumaar

7. Tujhko fatema zehra ki duaayein mil jaaye 
khud teri ziyaarat ko ambiya chale aayein
karbala pahonch jaaye tu jo ek baar

8. Adl aur adaalat ka intezaam lene ko
karbala ka ay nayaab inteqaam lene ko
aane waala hai koyi leke zulfiqaar