Haye abid e bimar

- SHAHANSHAH HUSSAIN MANZAR (2018)


BAQIR KE LABON PAR HAI YE NALA MERE BABA
KYU HAMKO GAYE CHORH KE TANHA MERE BABA
YE DAGH YATIMI KA HAI SAHENA BADA DUSHWAR -

HAY ABIDE BIMAR ×2

JO SAIYADE SAJJAD THA DUNIYA CHALA HAI
GHAMGIN NAMAZE HAI TO SAJDO ME BUKA HAI
HAMRAH MUSALLE KE HAIN GIRYA DARO DIWAR -

HAY ABIDE BIMAR ×2

ZAINAB KI ASIRI KA LIYE DAGH JIGAR PE
CHALIS BARAS KHUN NA RUKA ANKHUON SE JISKE
TADPATA RAHA JISKO SADA SHAM KA BAZAR –

HAY ABIDE BIMAR ×2

SINE ME BANAYE HUWE MASUM KI TURBAT
JO BHOOL NA PAYA KABHI HAMSHIR KI GHURBAT
GARDAN ME RASAN ZAKHMI LAWEN KHUN BHARE RUKHSAR –

HAY ABIDE BIMAR ×2

SADMA YE PAYAMBAR saww KE JIGAR SE KOI PUCHE
PHIR EK JANAZA UTHA SADAT KE GHAR SE
SAR PEET KE KARTE HAIN BUKA SARE AZADAR –

HAY ABIDE BIMAR ×2

BABA KO LITANE LAGE JAB QABR KE ANDAR
YAD AA GAYA BAQIR as WO ZINDAN KA MANZAR
HAMSHIR KI MAIYAT LIYE EK BEKASO LACHAR –

HAY ABIDE BIMAR ×2