Binte nabi madine mein ab bhi ro rahi hai

- Khoei Hasan Khoei (2019)


Binte Nabi Madine Me Ab Bhi Rorahi Hai.
Rauze Pe Mustafa Ke..(2) Jaa'n Apni Kho Rahi Hai.

1)Kitna Satarahi Hai Ye Qaum Humko Baba
Aag Or Lakdi Leker Darwaze Ko Jalaya.
Baad Apke Ye Dunya..(2) Tarikh Horahi Hai...

2)Be Chain Hoke Hujre Se Ye Nikal Rahi Hai.
Rauze Talak Wo Gir Kar Or Phir Sambhal Rahi. Hai.
Na Ghar Me Baith Ti Hai..(2) Or Na Hi Sorahi Hai...

3)Hasnain Ko Bitha Kar Wo Moo Ko Chumti Hai.
Zainabؐ Ko God Leker Chehre Ko Dekhti Hai.
Din Raat Asuo'n Se..(2) Daman Bhigo Rahi Hai...

4)Ummat Ne Teri Mere Darwaze Ko Jalaya.
Phir Ye Sitam Huwa Ki Darwaze Ko Dhakela.
Darwaze Ki Ye Kile..(2) Mujhko Chibho Rahi Hai...

5)Baitul Huzun Me Aake Baba Ko Yaad Karke
Roti Hai Pehro Zehraؐ Har Zulm Yaad Karke
Ashko Se Apne Mooh Ko..(2) Har Dam Wo Dho Rahi Hai...

6)Dunya Se Jarahi Hai Aalam Ki Shehzadiؐ
Rolo'Zafar'Ab Aake Matam Bhi Karlo'KHOEI'
Fizzaؐ Pachade Khake..(2) Jaa'n Apni Kho Rahi Hai... Binte Nabiؐ

Binte Nabi Madine Me Ab Bhi Rorahi Hai..(2)