Qabr e zahra se aati sada hai
- Raza Ghadeeri (2019)
Mere Baba Ye Kesi Jafa hai
Qabr e Zehra Se aati sada hai
Mere baba ye kesi Jafa hai...
(1)Meri turbat pey na koi saya
Ek arse se koi'e na aaya
Mujko turbat mai aese rulaya,
mere baba ye kesi jafa hai...
(2)mere ghar ko hey baba jalaya
Mere baba muje yu sataya
Ek lamha suku na hai paya
mere baba ye kesi jafa hai...
(3)kese bhulu mei teri vo rehlat
Teri ummat ne kardi vo halat
Koye pasli nahi ab salamat
Mere baba ye kesi jafa hai...
(4)Batne madar mei mohsin ko mara
Chiin gaya mujse mera dulara
Mene dekha na apna sitara
Mere baba ye kesi jafa hai
(5)para e tan hu mai mustafa ki
Mujpe zalim ne kesi jafa ki
Baba ummat ne kese wafa ki
Mere baba ye kesi jafa hai...
(6)Kya bata'un tha zulm e saqifa
Kamseeni mai hui me jaeefa
Ho gayi zulm seh k mariza
Mere baba ye kesi jafa hai...
(7)Fizza jaldi se aao sambhalo
Chur jakhmo so hu ab uthalo
Mai hu binte payambar bachalo
Mere baba ye kesi jafa hai...
(8)Aab ki samne thi rawani
Na mila mere baccho ko pani
Na hey akbar ki ab vo jawani
Mere baba ye kesi jafa hai...
(9)mere baba musibat hai kesi
Sham mai berida hai nawasi
Ye musibat bhi aashur jesi
Mere baba ye kesi jafa hai...
(10)mere baccho se maadar hai chiini
Meri beti ki chadar hai chiini
Mere aabid se khwahar hai chiini
Mere baba ye kesi jafa hai...
(11)mere roney ki aawaz sunkar
Mera mehdi hai rota tadap kar
Roke kehti hu beta sabar kar
Mere baba ye kesi jafa hai...
(12)Rokle bas kalam ko 'Raza' ab
Nam hui chasme ahle aza ab
Ben se gunj utthi fiza ab
Mere baba ye kesi jafa hai...
Qabre Zahra se aati sada hai
Mere baba ye kesi jafa hai...