Jab hui zohr talak qatl sipahe shabbir
- Miscellaneous (2014)
Jab Hui Zohar Talak Qatal Sipah e Shabbir.(A.S)
Ghair Asghar (A.S) na raha noor e nigah e Shabbir (A.S)
Thi faqat Rooh e Ali (A.S) pusht o panah e Shabbir (A.S)
Haq say kehta tha ke tu rahiyo gawah e Shabbir (A.S)
Sar fida kar kay shareek e shuhada hota hoon
Aaj mai teri amanat say ada hota hoon
Ab na Qasim (A.S) mera baqi hai na Akbar (A.S) baqi
Na Alamadar (A.S) salamat hai na lashkar baqi
Bhanjay hain na bhateejay na baradar baqi Ab faqat sar mera baqi hai aur Asghar (A.S) baqi
Qatal Asghar (A.S) ho mera sar bhi juda ho jaay
Iss amanat se bhi Shabbir (A.S) ada ho jaay
Ya Khuda tujh pa mai sadqay mera lashkar bhi nisaar
Dil fida jaan fida rooh fida ghar bhi nisaar
Ali Akbar (A.S) bhi nisaar aur Ali Asghar (A.S) bhi nisaar
Tujh pa Baqir bhi nisaar aur dil e muztar bhi nisaar
Mai nai jo kuch teray darbar say paya Maula Sab teri raah mai khush ho ke lutaya Maula
Wo kalayjay pe dharay haath paray hain Akbar (A.S)
Hain wo Abbas e Dilawar (A.S) wo Hasan (A.S) ka dilbar
Ek Ek piyaray ko qurban kiya ginn ginn kar
Ki amanat main khayanat na zarra aai dawar
Tu nai daulat thi jo mujh khaak nasheen ko sonpi
Wo amanat teray banday nai zameen ko sonpi
Jab Hoi Zohr Talak...