Sajjad ka aghaz e imamat hua

- Hasan Jafar & Ali Hasan (2017)


Sajjad Ka aaghaz e imamat you hua hai
jakda hua zanjeer me bimar khada hai
sajjad ka......

1) Ghash se jo khuli akkh to khaime me tha kohramm
ummat se jo mousul hue dekhe wo in aam
pehlu me nazar ata tha simta hua islam
socha bhi nahi tha jo kisine wo hua hai
jakda hua....
sajjad ka... ..(2)

2) Keh paae na kuch zainab e kulsum se maula
dekha na gaya nazro se jalta hua khaima
lipti hui seene se ye kheti thi sakeena
zalim ne mere baba ka sir kat lia hai
jakda hua...
Sajjad ka... ..(2)

3) Begor o kafan dasht me lasho pe hain laashe
Khaime me phuphi deti hai bachho ko dilase
dar ye hai k mehroom na ho jae rida se
faujon ko lie shimr e sitamgaar khada hai
jakda hua..
sajjad ka...(2)

4) zinda na raha ban me koi chahne wala
dil kaise khuda jane k zainab ne sambhala
jalte hue khaime se bhateeje ko nikala
masoom ma e kaunain pe kya waqt pada hai
jakda hua..
sajjad ka.. ..(2)

5) Jalte hua khaimo ka bhi ek simt hai manzar
ek simt nabizaadiyan roti hain khule sir
kaano se sakina bhi hai chin rahe gauhar
kis dil se khuda jane k wo dekh raha hai
jakda hua...
sjjad ka ...x 2

6) pehnai jo zanjeer e sitam mehve jafa ne
sir peet lia binte sahe karbobala ne
bas itna kaha bhai se bejurm o khata ne
kis jurm ki aakhir ye mere bahi saza hai
jakda hua...
sajjad ka... x 2

7) sajjad ko har lamha hi is gham ne rulaya
mushkil me mein baba ki madad kr nahi paya
akbar ka jawan laasha hi tanha hi uthaya
har kam akele mere baba ne kia hai
jakda hua...
sajjad ka..x 2

8) bhule hi nahi ronjo sare rah uthae
kode kabhi khae hain to patthar kabi khae
khud apne lahu me hi kai barr nahae
is bat ko har ek muarriq ne likha hai
jakda hua...
sajjad ka.....(2)

9) sajjad se asif jo koi milne ko aya
besahkta khud roe hain usko bhi rulaya
dikhlae kabhi zakhm kabhi haal sunaya
ta umr hi maula ne hasan girya Kia hai
jakda hua...
sjjad ka....(2)