Paon ke chalo ne bhi matam kiya sajjad ka

- Hasan Jafar & Ali Hasan (2017)


Haye sajjad haye haye sajjad.....
Bedion k zakhm se ye hal tha sajjad ka
Khun me duba tha har ..(2)
Ek naqsh e paa sajjad ka
Haye sajjad haye haye sajjad.....
Paon k chalo ne bhi matam kia sjjad ka

1) Imtehan k sakhtion me karbala k bad bhi ..(2)
Ek dil zainab ka dekha ..(2) dusra sjjad ka
Paon k chlon.....

2. Zulm bola pattharon se sabka istiqbal ho ..(2)
Jab kisi manzil pe pahucha ..(2) qafela sajjad ka

3. Tauq e gardan ne bhi gardan se nichoda be hisab ..(2)
Bedion ne bhi lahu ..(2) behad pia sajjad ka

4. Qaid khane ki ghutan ki agai manzil qareeb ..(2)
Sham o kufa ka safar ..(2) phr tae hua sajjad ka

5. Pyas katon ki bhujata wadi e purkhar se ..(2)
Pa barehba ja rha tha ..(2) qafla sajjad ka

6. Sabz patto par ye shabnam hai nai waqt e seher ..(2)
Asman roya hai padhkar ..(2) marsiya sajjad ka

7. Aye hussaini jab gham e duniya ne ghera hai mujhe ..(2)
Matam e sarwar kia ..(2) nauha padha sajjad ka