Taboot uth raha hai (Imam Sajjad)

- Mir Hasan Mir (2019)


Mera beemar imam..(6)
haye sajjad, haye sajjad..(2)
Phir Fatima ke ghar mein, farshe azaa bicha hai
beemar e karbala ka, taboot uth raha hai

Karbobala ka zakhmi, yasrab mein chal basa hai
beemar e karbala ka, taboot uth raha hai
Phir Fatima ke ghar mein....

1. Haye zere kafan bhi uski aankho'n se khoo'n hai jaari
yaad aa rahi hai ghurbat sajjad ko padar ki
roze se Mustafa ki aylaan ho raha hai
beemar e karbala ka, taboot uth raha hai
Phir Fatima ke ghar mein..

2. Haye, baqir se keh raha tha sadaat ka gharana
pehlu mein nanajaa'n ke mayyat na leke jaana
pehle bhi ek janaza ghar wapas aa chuka hai
beemar e karbala ka, taboot uth raha hai
phir Fatima ke ghar mein..

3. Haye, ab to madine walo tumko sukoo rahega
royega aur na iski aankho'n se khoo'n bahega
baba ko rone wala khamosh hogaya hai
beemar e karbala ka, taboot uth raha hai
phir Fatima ke ghar mein..

4. Mayyat ke aage aage ye koi keh raha tha
bazaar se na guzre sajjad ka janaza
bazaar ko ye qaidi rota hua gaya hai
beemar e karbala ka, taboot uth raha hai
phir Fatima ke ghar mein..

5. Haye, maara hai is tarha se zalim ne zeher deke
kat katke bahar aaye iske jigar ke tukde
haye pehlu pe fatima ke phir zakhm ek laga hai
beemar e karbala ka, taboot uth raha hai
phir Fatima ke ghar mein..

6. Taboot se lipat kar kehti hai koi bacchi
zindaan se hai aayi bhaiyya behen tumhari
aankhein to khol lo ab sar par mere rida hai
beemar e karbala ka, taboot uth raha hai
phir Fatima ke ghar mein..

7. Akbar jo laash e fizza dafna ke uthhe maula
aayi sada e zainab baqir watan chala jaa
sajjad ka janaza tayyar hogaya hai
beemar e karbala ka, taboot uth raha hai
phir Fatima ke ghar mein..