Hussain ka akbar

- Shozab Abbas (2019)


Haye jawan Akbar jawan  Haye jawan Akbar jawan   *Tadap raha hai zamee'n per hussain ka Akbar ( 2 )*   Sina kaleje pa kha ker hussain ka Akbar    Tadap raha hai zamee'n per hussain ka Akbar ( 2 )   Madad ke waatse Kisko bulayie Koun aaye Sabhi to soote hain Khoo'n mein nahaeye Koun aaye Ye sadma Leta hai dil per (2)  Hussain Ka Akbar a.s   *Tadap raha hai zamee'n per hussain ka Akbar ( 2 )*   Hussain jisko Md ki tarha chahte thai  Usse tadaapte huwe dekh payenge Kaise  Ye sadma Leta hai dil per  (2) Hussain Ka Akbar as   *Tadap raha hai zamee'n per hussain ka Akbar ( 2 )*   Jisse madina tarsata tha dekhne ke liye  Zameene garm pa reh reh ke eydiya'n ragde  Wo hum shabeehe payamber (2) Hussain Ka Akbar a.s    *Tadap raha hai zamee'n per hussain ka Akbar ( 2 )*   Her eik zaba'n pa tha akbar ke husn ka charcha  Kisi ka beta kahan itna khoobsurat tha Haseen Jitna tha dilbar (2)  Hussain Ka Akbar a.s    *Tadap raha hai zamee'n per hussain ka Akbar ( 2 )*   Jigar ka dard nikala hussain ne Kaise  Na jane khud ko sambhala hussain ne Kaise  Tadap ke margaya akbar (2) Hussain Ka Akbar a.s    *Tadap raha hai zamee'n per hussain ka Akbar ( 2 )*   Nazar ke saamne Sughra bahen ki hai tasveer  Sitam ne daaldi Paoo'n Mein mout ki zanjeer  Madina jaye'n bhi kyunker (2) Hussain Ka Akbar a.s    *Tadap raha hai zamee'n per hussain ka Akbar ( 2 )*   Hawa mein hato'n ko lehra rahe hai shah e zaman  Zameen e karbobala per ujad gaya hai chaman  Shaheed ho gaya Akbar (2) Hussain Ka Akbar a.s    *Tadap raha hai zamee'n per hussain ka Akbar ( 2 )*   Kamayie lut gayie Jangal mein Umme laila ki Khili na sehre ki kaliya'n na ho saki shadi  Huwa hai dee'n pa nichahwar (2) Hussain Ka Akbar a.s    *Tadap raha hai zamee'n per hussain ka Akbar ( 2 )*   Bayan kaise ho Asif shahdate Akbar  Ye goonjti thi ey Shozab sadaye'n reh reh ker Ke margaya Ali akbar (2) Hussain Ka Akbar a.s    *Tadap raha hai zamee'n per hussain ka Akbar ( 2 )*