Sajjad ka karwaan

- Shozab Abbas (2019)


*Qafila salaar abide beemaar (2)*

*Khoo'n mein bhari Ye dasta'n*
*Sajjad Ka ye karwa'n*
*Noha kuna hain bibiya'n sajjad Ka ye karwan*

*Khoo'n mein bhari Ye dasta'n*
*Sajjad Ka ye karwa'n(2)*

Yasrab se jab nikla tha ye 
Abbas thai meere haram 
Har waqt tha saya kiye 
Abbas e ghazi ka alam (2)
Ghazi kaha'n Parcham kaha'n sajjad ka ye karwa'n 

*Khoo'n mein bhari Ye dasta'n*
*Sajjad Ka ye karwa'n(2)*


Godi her ik aabad thi 
Her aik bibi Shaad thi 
Qasim bhi thai Akbar bhi thai 
Aur goud mein be sheer bhi (2)
Maqtal mein ujda gulsita'n sajjad ka ye karwa'n 

*Khoo'n mein bhari Ye dasta'n*
*Sajjad Ka ye karwa'n(2)*

Asghar ka sir naize pa hai 
Karti hai maadar mariya 
Koi mujhe batla to de
Be sheer ki kya hai qata (2)
Nazuk badan rege taps'n
Sajjad ka ye karwa'n 

*Khoo'n mein bhari Ye dasta'n*
*Sajjad Ka ye karwa'n(2)*

Dikhla ke sab shohda ke sir
Hanste thai saare ashqiya 
Aur ye Sitam sajjad per
Thai nange pa purkhwar rah (2)
Allah re ye saqtiya'n sajjad ka ye karwa'n 

*Khoo'n mein bhari Ye dasta'n*
*Sajjad Ka ye karwa'n(2)*

Jab shaam ke bazaar mein 
Pahuncha ye ujda qafila 
Sir nange namoose nabi
Her marhala dushwar tha (2)
Roti'n rahi'n syedaniya'n sajjad ka ye karwa'n 

*Khoo'n mein bhari Ye dasta'n*
*Sajjad Ka ye karwa'n(2)*

Thai saath 100 kursi nashee'n 
Baita tha zalim taqt per
Tha tasht mein baba ka sir
Roeye sakina dekh ker (2)
Bacchi ka haye imteha'n sajjad ka ye karwa'n 

*Khoo'n mein bhari Ye dasta'n*
*Sajjad Ka ye karwa'n(2)*

Bali sakina mar gaeye 
Zinda'n mein ghum mein baap ke 
Nanhi si ik turbat bani 
Sajjad ke khud haath se (2)
Roti hain touq o bediya'n sajjad ka ye karwa'n 

*Khoo'n mein bhari Ye dasta'n*
*Sajjad Ka ye karwa'n(2)*

Qaisar rihaeye jab mili 
Ujda huwa sama'n mila
Shozab mile shohda ke sir
Sajjad ne noha padha (2)
Perdais mein ujda maka'n

*Khoo'n mein bhari Ye dasta'n*
*Sajjad Ka ye karwa'n(2)*