Abid e beemar ki aankho se khoon rukta nahi

- Yaseen Mirza (2019)


Abid-e-beemar Ki Aankhon Sai Khoon Rukta Nahi

Jisko Zainab Kay Liyey - 2
Parda Kaheen Milta Nahi.

Dekho Na Meyra Tamaasha Rokay Abid Nai Kaha
Saath Meyrai Aaee Hai Hokay Voh Qaidi Bay Rida
Nangay Sar Jisko Kabhi Baba Nai Bhi Dekha Nahi.

Kaisee Sehmi Hay Sakina Khoon Kanon Say Rawan
Pouchti Dikhlakay Abid ko Tamachon Kay Nishan
Kab Watan Main Jayenge
Koi Yahaan Apni Nahi

Zid Na Karna Tum Sakina Safar Mein Zainab Kay Saath
Pehloo Mein Sojaana Beti Jab Bhi Hojaaegi Raat
Laut Kar Aaeyga Ab Beti Tera Baba Nahi.

Saamnay Abid Kay Ban Mein Lut Gaya Zahra Ka Ghaar
Kis Tarha Zainab Ko Dekha
Shaam Mein Voh Nangay Sar
Dekha Hai Kaainaat Nai Sabir Koi Eysa Nahi.

Raath Bhi Hojaaegi Jab Haaey Dasht-e-Karbala
Uska Jhoola Jal Gaya Paani Bhi Usko Na Mila
Kis Tarha Sojaaon Mein
Asghar Mera Soya Nahi.