Abbas ke baghair bhala kaise chalungi

- Syed ali asghar abbas nasir (2019)


Abbas k bagahir bhala kesay chalon gi

Baba nay kaha paidal tu chalna seekh lay
Aik din ai ga tu paidal chalay gi
Meelon ka safar tanha bay chadar karay gi
Zainab nay kaha Baba aik baat toh batana (×2)
18 baradar hain (×2) ma paidal kiun chalon gi
Abbas k bagahir bhala kesay chalon gi

Hae Karbobala ma phir wo din aa gea
Hussain peh Zalim ka khanjar chal gea
Khaimon ma shaki naizay lay k aa gea
Pabanday rasan ho k bazaron ma jana (×2)
Naizon peh sar hain (×2) ma kaisay chalon gi
Abbas k bagahir bhala kesay chalon gi

Sajjad say yun kehnay lagien Zainab e Kubra
Chalna ma nay seekha tha ghar ma he tanha
Lakin ab hai yeh shaam ka bazaar
Shermo haya ki malka ma Zainab hoon (×2)
Chadar k baghair (×2) ma kesay chalon gi
Abbas k bagahir bhala kesay chalon

Shaam k darbaar ma Zainab ka ana tha
Islam e Muhammad ko is nay he bachana tha
Darbarion ko huq bhi toh sunana tha
Lehja e Haider ma yun booli Zainab (×2)
Nasir e Hussain (×2) ma yun ban ker chalon gi
Abbas k bagahir bhala kesay chalon