Karbobala ke dasht me Jab ayee dopaher
- Syed Muqarrib Raza Alipuri (2019)
Haye karbala haye karbala-5
Karbobala ke dasht me Jab ayee dopaher-2
MAZLOOMIYE HUSSAIN PE-2 PASHTAYEE DOPAHER..
karbobala ke....
1) Akber ne ma'nga Pani jo moqtal me baap se,
Rakhli Zaba'n pisar ki dehan me hussain ne,
Manzer a deyk deyk ke tharrayee dopehar.
KARBO BALA KE---2
2) Sarwar ne kheenchi sinaye akber se jab Sina,
Royee laho zameen laho Roya Aasma'n,
Paighame khatl shayre Jawa'n layee dopaher.
KARBO BALA KE--2
3) Jab utth Saka Na shahase Lasha Ye Jawa'n ka,
Behre Madad Ghareeb ne bachcho'n ko di Sada,
Tanhayee par hussain ke pashtayee Dopaher.
KARBO BALA KE--2
4) Pyase ko zalimo'n se jo Pani Nahi Mila,
Besheer ko Zameen Pe Sheh ne litadiya,
Oswaqth apne aap pe Sharmayee Dopaher.
KARBO BALA KE---2
5) Seh shoba Teer Deyk ke Hulkhe Sageer par,
Shabbir Ran Me Baith Gaye Thaam kar Jigar,
Haira'n Kabhi Howi Kabhi Ghabrayee Dopaher.
6) Pyasa Shaheed Hogaya Saqqa Labe furaath,
Ayee Sadaye Fathima Zehra Labe Furaath,
Ahle Haram ko Raas Nahi ayee Dopaher.
KARBO BALA KE---4
7) Aale Nabi Pe Zulm ki Yun Inteha Howi,
Sokhe Ghale pe Shahake Shamsheer Chalgayee ,
Suraj Tadap Ke Rehgaya Tharrayee Dopaher.
KARBO BALA KE--2
8) Nauha AZEEZ Shayere Sarwar ne Kya likha,
Afsoos Nauha Khwan MUQARRIB Ne Kya Padha,
Khud Royee Aur Jahan Ko Bhi Rulwayee Dopaher.
KARBO BALA KE---4