Sajjad Abhi Zinda Hai

- Syed Muqarrib Raza Alipuri (2019)


Sajjad Abhi Zinda Hai -3 
Hum par adoon se zulm kuch is tarah hua hai 
Baaqi koi na chota hai koi na bada hai 
Goonji sada-e-shaame gharibaan ghareeb ki 
Sajjad abhi zinda hai -2

1) Baba ke Baad kohe Alam hum pe gira hai, 
Dam bhar qaraar hum ko mayassar na hua hai,
Afsos yahi abide muztar ki sada hai.
Sajjad abhi zinda hai -2

2 ) Abbas o ali akbar o qasim guzar gaye,
Ahbaabo aqruba bhi ayizza bhi mar gaye,
Koi hamara moniso yawar na raha hai.
Sajjad abhi zinda hai -2

3) Bewon ki yatimon ki aseeron ki udasi,
Bhooli nahi jayegi vo phuphiyon ki udasi,
Nazron se meri shaam ka manzar na hata hai.
Sajjad abhi zinda hai -2

4) Yaade pidar me ghutke sakeena bhi mar gayi,
Bhai ko vo pardes me hai aas kar gayi,
Saamaan bhi madfan ka mayassar na hua hai.

5) Ahle haram jo ho gaye zindaan se riha,
Sab bibiyon ne matame sarwar bapa kiya,
Rota hua beemar yahi kehne laga hai.
Sajjad abhi zinda hai -2

6) Shayar AZIZ aur to MUQARRIB hai nauha khwan,
Bakhshish hamari kijiye ya shahe inso jaan,
Bas dukh bhare qalbon ki yahi ek sada hai.

Sajjad Abhi Zinda Hai--3