Jab se choota vatan sakina ka

- Syed Muqarrib Raza Alipuri (2019)


Jab se choota vatan sakina ka 
Khoon rota hai man sakina ka.

1) Arsh kaanpa zameen ki aaahon se -2 
Shimr ke durre aur tamachon se,
Zakhmi zakhmi hai tan sakina ka.
Jab se choota----2

2) Zulm vo dhaaye dushmane eemaan-2
Ho gaya haye khoon me ghaltaan,
Phool jaisa badan sakina ka.
Jab se choota----2

3) Ye samaa kam nahi hai mehshar se-2 
Saamne natawan baradar ke,
Hai janaza behen sakina ka.
Jab se choota----2

4) Boli umme rabaab ro ro kar-2
Kaise dafnaye abid-e- muztar,
Zakhmi lasha behen sakina ka.
Jab se choota----2

5) Ye bhi pardes me sitam toota-2 
Qaid me ek jala hua kurta,
Ban gaya hai kafan sakina ka.
Jab se choota----2

6) Jab madine me kaafila pahuncha-2
Sun ke behosh ho gayin sughra,
Maajra khastatan sakina ka.
Jab se Choota---2

7) Ban gayi hai MUJEEB ki qismat-2
Hai MUQARRIB BILAL ki daulat,
Zikre tashnadahan sakina ka.

Jab se choota vatan sakina ka 
Khoon rota hai man sakina ka---3