Aao matam karein shahe dilgeer ka
- Syed Muqarrib Raza Alipuri (2019)
AAO MATAM KAREIN SHAHE DILGEER KA
Karbala wale mazool shabber ka -2
1) Matam-e shah-e-deen haq ki pehchaan hai,
Jaan-e eemaan hai roohe qur aan hai,
Parchame deene islam ki shaan hai,
Qalb binte payambar ka armaan hai,
Aayina hai shariyat ki tafseer ka.
AAO MATAM KAREIN SHAHE DILGEER KA--2
2) Badhke adam ne dil se lagaya ise,
Nooh ne putliyon me sajaya ise,
Dil me ayyoob ne bhi basaya ise,
Anbiya ne wasila banaya ise,
Jalwa hai har taraf iski tanveer ka.
AAO MATAM KAREIN SHAHE DILGEER KA--2
3) Isme shaamil hai binte nabi ki dua,
Iski takrati hai aasmaan se sada,
Amr hai ye pasandidaye kibriya,
Isme poshida hai ek jari ki wafa,
Ye khulasa hai zainab ki tafseer ka.
AAO MATAM KAREIN SHAHE DILGEER KA--2
4) Matam-e sheh ko samjho na rasmon rivaaj,
Iski har ek zamane ko hai ehtiyaaj,
Ye ussole shariyat ke hai sar ka taaj,
Hai musalsal khilafe sitam ehtejaaj,
Asl me ye muhafiz hai takbeer ka.
5) Matam-e shahe deen me hai wo inqilaab,
Dehr me uska koi nahi hai jawaab,
Bakhshta hai zaeefon ko bhi ye shabaab,
Aur banata hai zarre ko bhi aaftaab,
Ye qalam kaar hai hur ki taqdeer ka.
AAO MATAM KAREIN SHAHE DILGEER KA
6) kyun na ZAHID MUQARRIB ho mehwe fughaan,
Isme poshida asghar ki hai hichkiyan,
Iski awaaz me aaj tak hai nihaan,
Chaar saala sakina ki bhi siskiyan,
Shor hai haaye abid ki zanjeer ka...
AAO MATAM KAREIN SHAHE DILGEER KA--3