Habib aa jao

- Mir Hasan Mir (2019)


AY HABEEB E HUSSAIN AY FAQEEH E HUSSAIN

HABEEB IBNE MAZAHIR


aye faqeeh e HUSSAIN AY HABEEB E HUSSAIN

ye khat me SHAH ne likha HABEEB aa jao-2.

tumhara dost hai tanha HABEEB aa jao

YE KHAT ME 

1)  shaheed kaise hua wo bataoge aakar 
tum haal e MUSLIM e bekas sunaoge aaker
 RUQAIYYA  takti hai rasta HABEEB aa jao

YE KHAT ME 

2)  lagao is se bhi andaze meri ghurbat ke
jahan pe IBNE ALI lihkna tha wahan pe maine      
diya hai maa ka hawala HABEEB  aa jao

YE KHAT ME SHAH   

 3) bata raha tha use koi bhi nhi hai mera    
to boli saniya zahra habeeb aayega
 hai usko tum pe bharosa HABEEB AA JAO
YE KHAT ME SHAH...............       

4) wo jab ye sunti hai kufe se ke aa rhe hai shaqi  
 to puchhti hai hamara bhi aayega koi  
  duaye degi sakina -2 HABEEB AA JAO

YE KHAT ME SHAH.............       

5 gawara kar nahi sakti HUSSAIN ki ghairat
tumhari zauja ki chadar ko loot le ummat   
tum usko chod ke kufa  HABEEB AA JAO
YE KHAT ME SHAH.........        

6) mujhe hai yaad wo lamha jo RAB ki marzi se
tum ho ke zinda meri baat sunne aaye the 
bula raha hun dobara   HABEEB AA JAO

YE KHAT ME SHAH............       

7) dar e BATOOL  dobara jalaya jayega  
tumhare dost pe khanjar chalaya jayega    
nahi hai waqt zyada  HABEEB AA JAO

YE KHAT ME SHAH................       

8) chamkate chand ki hamko bhi deed ho jaye
tum aao to mere baccho me eid ho jaye
bahot udaas hai kunba   HABEEB AA JAO 

YE KHAT ME SHAH ............ 

9) ye khath nahi ise behno ki aarzu samjho 
hamare lafzo ko zainab ki ghuftugu samjho
behen ye kehti hai bhaiya  HABEEB AA JAO

YE KHAT ME SHAH......     

10)  behen ne usko Takallum jo bhai smjha tha
pukari sham e ghareeba'n me SANIYE ZAHRA
hamara lutta hai parda  HABEEB AA JAO 

YE KHAT ME SHAH