Hum ali ke deewane har adaa ghadeeri hai
- Akhtar Hussain (2013)
Hum ali ke diwane har adaa ghadiri hai
ibteda ghadiri hai, inteha ghadiri hai
Ambiya imamo ka silsila ghadiri hai
padhlo aaya e balligh khud khuda ghadiri hai
Aaj bhagne wale raasta na payenge
raasta na payenge aaj bhagne wale
Aaj bhagne wale raasta na payenge..
Maymana ghadiri hai, maysara ghadiri hai
Naam leke haider ka hum ye jaan lete
Hum ye jaan lete hai naam leke haider ka
Kaun hai saqifayi, kaun sa ghadiri hai
Usko kya darayegi mushkile zamane ki
mushkile zamane ki usko kya darayegi
usko kya darayegi mushkile zamane ki
Karbalayi dil jiska, hausla ghadiri hai
Khud hi uske qadmo mein badhke aayegi jannat
badhke jisko haider ne, kehdiya ghadiri hai
Kufr aur batil ki bus saqifa manzil hai
Bus saqifa manzil hai kufr aur batil ki
Kufr aur batil ki bus saqifa manzil hai
Haq pasand logo ka, raasta ghadiri hai
Dekh kar mujhe akhtar, di sada ye rizwaa'n ne
di sada ye rizwaa'n ne, dekh kar mujhe akhtar
Dekh kar mujhe akhtar, di sada ye rizwaa'n ne
Khuld mein chale aao, raasta ghadiri hai