Nana tere sheher mein
- Safdar Abbas (2015)
Haye zainab, haye haye zainab
Bazaar hokar, zindaa'n se chhut kar
zainab aagayi nana
pardes jaa kar, ujda mera ghar
bichde baradar, sab kuch luta kar
nana tere sheher mein zainab ujad ke aagayi..(2)
Mai to ujad gayi hu..(2)
karbobala basa gayi
nana tere sheher mein zainab ujad ke aagayi..(2)
1. Aye nana sun sako to rudaad e ghum sunau
jo zakhm mai ne khaye wo sab tumhe dikhau
sare karbala, mera ghar luta
baradar gaye, chhini hai rida
Mai to ujad gayi hu..
bhai se jo kiye wo, waade sabhi nibha gayi
nana tere sheher mein zainab ujad ke aagayi..(2)
2. Mahe rajab mein mera bhai watan se nikla
aye nana baad tere ummat ne yu sataya
suwe karbala, chala qafla
musafir bana, tera laadla
Mai to ujad gayi hu..
ab mera ghar lutega, ye baat dil ko kha gayi
nana tere sheher mein zainab ujad ke aagayi..(2)
3. Sheh ne zamee'n kharidi karbal hai naam jiska
itne mein ashkiya'n ki faujo'n ne hum ko ghera
khayam e haram, khuda ki qasam
hate nehr se, hua ye sitam
Mai to ujad gayi hu..
ye baat mujhko nana, tasveer e ghum bata gayi
nana tere sheher mein zainab ujad ke aagayi..(2)
4. Phir saatwi se nana pehre pe alqama par
pani ki bandishe thi aulad e fatema par
mere tifl sab, hue jaa'n ba lab
ghareeb ul watan hue tashna lab
Mai to ujad gayi hu..
ye dard sehte sehte, ashoor ki shab aa gayi
nana tere sheher mein zainab ujad ke aagayi..(2)
5. Ashoor ki wo shab to rote hue guzari
subh e daham ki nana akbar ne jab azaa'n di
wigha zulm ki shuru hogayi
sare karbala qayamat hui
Mai to ujad gayi hu
bhai ne jo kharidi, sab ko zamee'n ye kha gayi
nana tere sheher mein zainab ujad ke aagayi..(2)
6. Ek ek karke nana peer o jawa'n sidhare
maqtal mein koi soya koi neher kinare
gule tan mere, baradar mere
khafa hogaye, kahi'n khogaye
Mai to ujad gayi hu..
naio pe sab ke sarr the, kaisi ghadi ye aa gayi
nana tere sheher mein zainab ujad ke aagayi..(2)
7. Khanjar chala tha jis dum shabbir ke gale par
sab zulm dekhti thi ye badnaseeb khwahar
gala kat gaya, mere bhai ka
kafan bhi use, nahi mil saka
Mai to ujad gayi hu..
phir iske baad nana, andhi ghumo ki chha gayi
nana tere sheher mein zainab ujad ke aagayi..(2)
8. Larza nabi ka roza 'mazhar' ye bayn sunkar
kaise bayaa'n karega farshe azaa pe 'safdar'
kaha'n ho saka, baya'n qaid ka
yehi khatm hai, mera marsiya
Mai to ujad gayi hu..
kehti thi bint e zehra, nana mai lutke aa gayi
nana tere sheher mein zainab ujad ke aagayi..(2)