Zahoor hoga zaroor hoga

- Shaheed Sibte Jafar (2005)


Hai sab hi qaael ke ek din abse toor hoga
zahoor hoga zaroor hoga
jaha'n pa zahir imam honge zahoor hoga zaroor hoga

Imam maujud har jagah hai na dekh paye jo be baseerat
to isme imaan o agahi ka kusoor hoga, zaroor hoga

Imam niptenge khud hi use jo unki ghaibat pa tanazan hai
koi dino ki hai baat jabse zahoor hoga zaroor hoga

Kaseem e naar o jina ali bu-turaab se jisko dushmani hai
fishar e qabr uska hai muqaddar zaroor hoga zaroor hoga

Ali ko dil se pukaar dekho pukarte hai malang jaise
hai mera daawa tumhe bhi hasil suroor hoga zaroor hoga

Ziyarat o zikr e murtaza mein na ho ziyarat jo ambiya ki
to aise zahn o damaagh o dil mein futoor hoga zaroor hoga

Hai murtaza baab e ilm o hikmat jo isse bach kar chalega uske
jehalato ka himakato ka sudoor hoga zaroor hoga

Adu e ghaire kaseer yani jo dushman e aale mustafa hai
to aisa hi banda hauz e kausar se door hoga zaroor hoga

Wila e aale nabi ke sadqe hamari duniya bhi motabar hai
ba roz e mehshar husool e qurb e huzoor hoga zaroor hoga

Naye naye naghma haay midhat suna raha hai jo sibt e jafar
to shaeri aur adaegi par kuboor hoga zaroor hoga