Markaz e hal ataa fatema fatema

- Mukhtar Hussain (2018)


Sayyeda, Fatema, Tahira, Raziya, Marziya
Sayyeda, Fatema, Tahira, Fatema, Fatema

Markaz e hal ataa, Fatema, Fatema..(2)
Aayat e hal ataa, Fatema, Fatema
Markaz e hal ataa, Fatema, Fatema

1. Bola suraj palat kar ali ya ali
chand ne di sadaein nabi ya nabi
taara kehta raha Fatema, Fatema

2. Waqt e mushkil padhi sab ne nade ali
aur ali par padhi jab bhi mushkil koi
bole mushkil kusha Fatema, Fatema

3. Hogayi jis ghadi aayatein ek jaa'n
uski nisbat se sab ka ta'arruf hua
roohe ehle kisa Fatema, Fatema

4. Hogaya shamil e ehlebayt e nabi
baat salman ko jab samajh aagayi
hai hijab e khuda Fatema, Fatema

5. Naar se noor ki simt hurr aagaya
ek nuqt ne mujrim se meram kiya
aur wo nuqta hai kya Fatema, Fatema

6. Baat qur'aa ke lehje mein karne lagi
uske haq mein bhi aayat utarne lagi
wird fizza ka tha Fatema, Fatema

7. Muttafiq hai yaha'n saare ehle nazar
kuch na hota kahi ye na hoti agar
kun ka matlab hai kya Fatema, Fatema

8. Ek nazar bhi nazar se milayi nahi
maut ghar mein takallum ke aayi nahi
jab se darr par likha Fatema, Fatema