Logo bazaar mein namoos e nabi aate hai
- Mazhar Abbas (2018)
Logo bazaar mein namoos e nabi aate hai..(2)
Jo hai tatheer ke malik..(2)
wo sabhi aate hai
Logo bazaar mein namoos e nabi aate hai..(2)
1. Sheher dulhan ki tarha se hai sajana logo
aur har ek chauk ko hai sej banana logo
leke abid ali qasim..(2) ki bani aate hai
Logo bazaar mein namoos e nabi aate hai..(2)
2. Din ko jo turbat e madar pe na jaate the kabhi
parde abbas sada jinke banate the kabhi
dekhne shaam ki har ek..(2) gali aate hai
Logo bazaar mein namoos e nabi aate hai..(2)
3. Muntazir aal ke islam ke matwale hai
hamne tazeem ke andaaz badal daale hai
dekhne izzat o takreem..(2) wo laee aate hai
Logo bazaar mein namoos e nabi aate hai..(2)
4. Arsh se kam na saje shaam ki har ek gali
apne hamraah basad shaan liye aale nabi
aaj meraaj pe abbas..(2) ali aate hai
Logo bazaar mein namoos e nabi aate hai..(2)
5. Ya fir is daur ke har shimr se ye kehna hai
khatma zulm ka hoke yaha rehna hai
banke mukhtaar fir allah..(2) ye awali aate hai
Logo bazaar mein namoos e nabi aate hai..(2)
Jo hai tatheer ke malik..(2)
wo sabhi aate hai
Logo bazaar mein namoos e nabi aate hai..(2)