Kaash abbas na maare jate

- Adeel Raza (2017)


Kaash abbas na maare jaate..(2)

1. Dono baazu wo shehenshah e wafa ke thaame
laashe abbas pe shabbir buka karte the
bhai tum baad hamare jaate

Kaash abbas na maare jaate..(3)

2.Is tarha lagti na akbar ke kaleje pe sina
is tarha hoti na sadaat ke khaimo'n mein fugha
yu na zainab ke sahare jaate

Kaash abbas na maare jaate..(3)

3. Kaash hote to utha laate alamdaar ki laash
saath shabbir ke dafnate alamdaar ki laash
gar na zainab ke dulare jaate

Kaash abbas na maare jaate..(3)

4. Gardan e shaah pe yu rann mein na khanjar chalta
yu na khursheed e imamat sare maqtal dhalta
yu na sar naizo'n pe saare jaate

Kaash abbas na maare jaate..(3)

5. Hote abbas to chinti na rida zainab ki
paao'n mein abid e muztar ke na bedi dalti
taziyane bhi na maare jaate

Kaash abbas na maare jaate..(3)

6. Hoke paband e rasan sayyede sajjad chale
neher ko dekhke rote hue yeh kehne lage
sab watan saath hamare jaate

Kaash abbas na maare jaate..(3)

7. Hote abbas e dilawar to na khaime jalte
shaam e ghurbat na sakina ko tamache lagte
goshware na utare jaate

Kaash abbas na maare jaate..(3)

8. Kabhi chehra kabhi baazu kabhi seena peeta
qaidkhane se watan aayi to zainab ne kaha
din na yu ghum mein guzare jaate

Kaash abbas na maare jaate..(3)

9. Aaj bhi aati hai ye qabr e sakina se sadaa
aye chacha aati na zindaan mein humko yu qazaa
saath gar hum bhi tumhare jaate

Kaash abbas na maare jaate..(3)

10. Haale karbal jo koi puchta tha noore ali
roke zainab yehi deti thi sada noore ali
Kaash abbas na maare jaate..

Kaash abbas na maare jaate..(3)