Aagaya shabaan

- Mir Hasan Mir (2018)


Marhaba..
Marhaba swalle a'laa
Aagaya shaban khushiyo'n ke zamane aagaye
Rone wale mehfilo'n mein muskurane aagaye

Kaun aaya hai zamee'n par banke zeenat baap ki
panjetan khud shauk mein jhoola jhulane aagaye

Pyaas bachpan mein bujhakar sheh ki ghazi ne kaha
dekhiye baba hame waade nibhane aagaye

May alam lekar chala to aayi ghazi ki sadaa
ho mubarak ab tumhe baazu katane aagaye

Dekhne sidra se aagey ke manazir jibra'eel
Fatema Zehra ke ghar chakki chalane aagaye

Shikwa qismat se na karna jaun se bole Husain
ab to raazi hai tujhe hum khud manane aagaye

Qabr me pohcha jo momin aayi baali se sadaa
aye farishto'n jao kyu isko jagane aagaye

Mai ne likkha tha fidak ki maalika tujhko salaam
ghaar mein kuch log mera ghar jalane aagaye

Dekhkar manzar najaf se karbala tak yu laga
jaise qayam ki hukumat ke zamaney aagaye

Is jaha'n mein aye takallum hum faqeer e buturab
dushman e zehra ko mitti mein milane aagaye
Marhabaa swalle a'laa