Haye ali maula ali

- Sayyed Asghar Ali (2018)


Haye ali ya ali ya ali
Haye ali maula ali...haye ali maula ali

ali ye soch kar aansu bahate hai hai shab e zarbat
amanat tumne jo sounpi thi mujhko malka e jannat
kise sounpu unhe mai baad mere haye re ghurbat
jo dil per hai guzarti aaj mere koi kya jaane
kya mere baad hoga mere baccho ka khuda jane


yahi bus soch kar haider ka dooba jaa raha hai dil
mere bacchon ki khatir baad mere sakht hai manzil
karegi ummat e badkhwah ye jeena bahot mushkil
ye ummat mustafa ki har qadam per zulm dhaegi
hasad ki pyaas mere bacchon ke khun se bhujhaegi


qaree'n hai eid ka din bhi khushi kaise manaege
mere ghum me mere bcche faqat aansu bahaenge
libaas e sogh me din eid ka rokar bitaenge
bataun kis tarah bacchon ka mere dil dukhaegi
tasalli unko dene ke liye ghar tak na aaegi


mujhe maloom hai ummat ye kya kya din dikhaegi
mere shabbir ko mehman bulakar ye sataegi
kabhi bete kabhi bhai ke laashe per rulaegi
madad ke waaste thame qamar mujhko pukarega
jawan bete ka jab laasha mera sarwar uthaega

phir uske baad sarwar per chalegi zulm ki shamsheer
koi maarega patthar to koi naiza to koi teer
ye manzar dekhkar roti rahegi zainab e dilgeer
ke meri dushmani me zulm ye bhi dhaya jaega
behan ke saamne bhai ke sar ko kaata jaega



sitam baad e shahe karbobala ye tham na paega
sitam aal e nabi ar aur bhi ye badhta jaega
sitam ki zadd pa baad e shahe deen sajjad aaega
pahen ke bediyan paun me paidal shaam jana hai
use taa umr zainab ki rida ka gham uthana hai


ALI (AS) DAKHIL HUE MASJID ME TO AALAM AJAB DEKHA
CHHUPA KE TEGH QATIL MASJID E KOOFA ME HAI SOYA
JAGAYA USKO AUR MEHRAAB KI JANIB CHALE MAULA (AS)
ALI E MURTUZA (AS) NE SAR JO APNA SAJDE ME RAKHKHA
ZAMEEN HILNE LAGI LARZA FALAK AAI QAYMAT HAI
LAGAI SAR PA HAIDER (AS) KE BINE MULJIM NE ZARBAT HAI

ALI (AS) KO MASJID E KOOFA SE GHAR HASNAIN (AS) LE AAYE
PIDAR KO DEKH KAR ZAKHMI JARI YE RO KE FARMAYE
MERE BABA KE SAR SE KHOON KITNA BAH RAHA HAYE
YE MANZAR DEKH KE SEENA KAHEEN GHAM SE NA PHAT JAYE
NABI (SAWW) KE BAAD YE UMMAT HAME KITNA SATATI HAI
YE SIN ME HI YATEEMI KE HAMEÑ AB DIN DIKHATI HAI


ali ka zakhm jab jarrah ne dekha to ki taqreer
chalayi jo layin ne zehar aaluda thi wo shamsheer
milega kuch ghadi araam maula ko pilao sheer
raheen e kufa ne jab ye suna haider ke ghar aaye
ali ke waaste bhar bhar ke pyale sheer ke laaye


bula ke paas shabbar ko wasiyat karte hai maula
ho mere baad ummat ke imam e haq tumhi beta
ke hamsheer o baradar ka khayal ab tumko hai rakhna
meri nazro me manzar karbala ka saara phirta hai
inhe deen e nabi ke waaste har ghm uthana hai


kaha ummul bani ne haider e qarrar se rokar
khata kya ho gayi ghazi se aisi saqiye kausar
kaha haider ne kyu maghmoom ho abbas ki ki madar
jari ka haath dast e shaahe deen pe rakh ke farmaya
shahewala ka ye bann kar rahega umr bhar saya


wasiyat karke duniya se hue rukhsat ali maula
bahot rone lagi baba ke gham me zainab e kubre
qayamat saqi e kausar ke ghar me ho gayi barpa
utha "Asgar" janaza jis ghadi sher e elahi ka
"Wilayat" gham se dil phatne laga zehra ki jaayi ka.....