Pyaari Sakina
- Farhan (ALI WARIS) (2007)
Pyaari Sakina
namaz e shab mein dua karte the Shabbir
ik phool si beti dey mujhe katib e taqdeer 
Haay, Shabbir ko khaliq ney sakina jo ata ki
Zainab ki si surat thi sab us mah laqa ki
jis dam diya godi mein usey laker chacha ki
hathoun pa us ko ley kar ghazi ney dua di
rakhe tujhe aye laadli Allah salamat
dunya mein terey sar pa rahy shah salamat 
Sakina Sakina
(Shah ki piyari Sakina laadli Abbas ki) x3
- seerat-e-Zehra thi jis mein thi sakina wo kitab
 god mein lete the ghazi aur kabhi Umme Rabab
 seena-e-Shabbir par jo phool si khilti rahi
 Zainab-o-Kulsoom key jo saye mein palti rahi
- na kisi gham ka tasawwur tha na ranj-o-yaas ka
- naz uthathi thi sakina ke sabhi shehzadiyan
 kisa-e-khaiber suna kar deti thi maa loriyan
 zanu-e-mader pe takiya tha kabhi taqdeer par
 Cheyn sey sooti thi shab ko seena-e-Shabbir par
- Dekhti hi dekhti wo do baras ki hogayi
 bachiyo(n) sey khilney ki umr hoti hai yahi
 Khelti thi ghar key angan mein kabhi Sughra ke saath
 Ghumney jati kabhi Akber kabhi baba key saath
- Khelke doran lagti thi Sakina ko jo piyas 
 door key jati thi bachi us ghari amu ke paas
 haye kya din the keh pani manga ur pani mila
- Algharaz behr-e-safer jab ghar sey nikle shah-e-deen
 rah mein kitni aziyat sehgayi wo nazneen
 dasht mein piyasi rahi aur baap ki furkat sahi
 qayd ho kar phir wo bachi sham ke zinda(n) gayi
- umr se baqi jo din the wo guzarey qayd mei
 kal talak aabad tha ghar ab hai sare qayd mei
 qayd khane ke masaib qalb par sehti rahi
 haye baba haye baba raat din kehti rahi
- mar dala qayd khaney ney usey uftad ney
 qabr mei us ko utara sayyad-e-sajad ney
 roza-e-bali Sakina par jo "mazhar abidi"
 jayega "farhan" lab par hoga noha bas yehei
(Shah ki piyari Sakina laadli Abbas ki) x2
paya is bachi ney jhula bazu-e-Abbas ka
naksh tha us nazneen ke dil pe nam Abbas ka
youn samjh lo pehney rehti thi vo taveez-e-wafa 
(Shah ki piyari Sakina laadli Abbas ki) x2
(Shah ki piyari Sakina laadli Abbas ki) x2
(Shah ki piyari Sakina laadli Abbas ki) x2
ur ik vo waqt piyasi thi sar-e-karbobala
(Shah ki piyari Sakina laadli Abbas ki) x2
(Shah ki piyari Sakina laadli Abbas ki) x2
(Shah ki piyari Sakina laadli Abbas ki) x2
(Shah ki piyari Sakina laadli Abbas ki) x2