Ali yaad aaye
- Imran Datoo (2018)
Ya ali, ali ali ali ali, ya ali
Musibat ke badal, juhi sar pe chaaye, ali yaad
aaye ali yaad aaye
Bhula baithe jab saare apne paraaye…
1. Har ek kehkashaa(n) mein hai unka hi
jalwa
Maho mehr mein bhi ali ko hi dekha
Sitaare sare arsh jab jhil milaaye…
2. Udoo ko bhi mushkil se jis ne churaya
Halakat se kitno ko jisne bachaya
Koi jaan kar usko jitna bulaaye…
3. Payambar ne hare k ko jab aazmaya
Koi bhi na khaybar ka dar tod paaya
Sabhi hoke na kaam jab lawt aaye…
4. Ali ki wilayat ka munkir huwa tha
Tujhe zikr e haider buraa lag raha tha
Qayamat mein sajde na jab kaam aaye…
5. Sare khum bhari dopehr mein ali ko
Rasool e khuda ne yu(n) mola banaya
Ke jab bhi koi haaji saaye mein jaaye…
6. Jo sidra ki manzil pe pohnche payambar
Koi haath parde se nikla jo baahar
Anghuti ko dekha nabi muskuraaye…
7. Sitamghaar ka halq chilne laga tha
Ke haybat se darbaar hilne laga tha
Ali ki jo beti ne khutbe sunaaye…
8. Rasool e khuda se dua mil gayi hai
Hassan ko najaf ki fazaa mil gayi hai
Jo ash-aar Imran tu ne sunaaye…