Eid e zainab koi zainab se zara puche to

- Shabih Abbas Jafri (2018)


Eid e ZAINAB koi ZAINAB se Zara puche to

Kyu'n hai Wo Eid pe bhi mehwe Aza puche to

Kyu'n Nahi'n AALE MUHAMMAD ke gharo'n me'n khushiyan
Kya sabab hai ye koi jaake bhala puche to

Eid e Ramazan e Mubarak ho Ya Eid e Qurba'n
Majlis e Gham kyu'n hai ghar Inke Bapa puche to

Loot kar Eid ki har ek Khushi Kufe me'n,
Kaisi Ummat ne Nibhaayi hai Wafa puchhe to

Kya diya Ajr RISALAT ka Musalmaano’n ne
AALE AHMAD ko Bajuz Zulm o Jafa puchhe to...

Ha'n Usi Subh ko jo Banke qayamat aayi,
Kiska sar Sajde me'n do neem hua puchhe to

Phe'nk kar Daarul Imaara se ba Roz e Arafah
Kis ke Laashe ko Ghasita tha gaya puchche to

Kyu'n hai SAJJAD ki Aankho'n se Rawa'n Khoon e Jigar
Kaun sa zakhm abhi tak na bhara  puchche to

Jis Gharaane se thi Eidain ki Zinat Aakhir,
Kyu'n hai Ghar Aaj Wohi Nauhakuna puchhe to

Kabhi BABA to BARADAR ko kabhi Roti hai
Uski har Eid hai kyu'n Karb o bala puchhe to

Unke Haq me'n jo Sada karta raha Haq se Dua
Kyu'n kar Ummat ne Usey Zibh kiya puchhe to

Waqt har zakhm ko bhar de ye zaruri to Nahi'n
Kaisa ye Huzn hai ye Dard Hai Kya puchhe to

Khoon e Dil Aankho'n se Ro Ro ke  Wila aur Shabih
Aaj MAHDI bhi hai'n kyu'n Mehwe Buka puchhe to...