Zainab ka naam musalle par

- Mir Hasan Mir (2018)


Haye ali, haye ali, haye ali..(2)
Haye ali, haye ali
haye ali, maula ali

Ro roke ali kyu lete hain zainab ka naam musalle par..(2)

Kya yaad ali ko aaya hai bazaar e shaam musalle par
Ro roke ali kyu lete hain zainab ka naam musalle par..(2)

1. Khoo'n jaari tha zakhmi sar se
rote the namazi saff mein khade
kis tarha hasan ne ro ro kar
ki fajr tamaam musalle par

Ro roke ali kyu lete hain zainab ka naam musalle par..(2)

2. Kya maa ki tarha lene tumko
masjid mein chali aaye zainab
baba ko jaakar dedo fizza
mera paigham musalle par

Ro roke ali kyu lete hain zainab ka naam musalle par..(2)

3. Haaye,
Zakhmi pehlu jab yaad aaya
zakhmi peshani bhool gaya
zahra ki museebat par roya
mazloom imam musalle par

Ro roke ali kyu lete hain zainab ka naam musalle par..(2)

4. Ye pehli fajr hai zainab ki
sajde mein sukoo'n milta hai nahi
dil doobta hai aata hi nahi
ik pal aaraam musalle par

Ro roke ali kyu lete hain zainab ka naam musalle par..(2)

5. Deewar e kaaba baith gayi
al-hamd lahu mein doob gayi
ummat se mila hai maula ko
kaisa in'aam musalle par

Ro roke ali kyu lete hain zainab ka naam musalle par..(2)

6. Us ghairat daar ki ghurbat par
roti hai ali ki ghurbat bhi
chalees baras jo kehta raha
ash-shaam ash-shaam musalle par

Ro roke ali kyu lete hain zainab ka naam musalle par..(2)

7. Shabbir ki janib se akbar
qatil ko pilaya tha sharbat
jab yaad ali ko aaya tha
ek tashna kaam musalle par

Ro roke ali kyu lete hain zainab ka naam musalle par..(2)

Haye ali, haye ali
haye ali, maula ali