Taboot uth raha hai
- Afroz (Azhar Abbas) (2018)
Sar peeto rozadaro'n jibreel ki sada hai
Damade mustafa ka taboot uth raha hai.....
(1) Muljim ke laadle ne maara hai murtuza ko
Marqad me chain kyunkar ab aaye Fatema ko
Hangaam ka hai aalam kaisa ghazab huwa hai
taboot uth raha hai..
(2) Sajde me tegh khayi Allah ke vali ne
Li taziyat ajal se haider ki zindagi ne
Haider pe hai musibat Tauheed ghamzada hai
taboot uth raha hai..
(3) Bechain hain khadija bechain hain payambar
Binte asad lahed se nikli huii hain bahar
Imraan ka gharana be aas ho raha hai
taboot uth raha hai..
(4) Hasnain nange sar hain zainab tadap rahi hain
Kulsum muztarib hain tasveere gham bani hain
Abbas par ye sadma geheraata jaa raha hai
taboot uth raha hai..
(5) Dil ko hila rahe hain ummul banee'n ke naale
Fizza jigar ko apne kis tarha se sambhale
Dono'n jahan ka maula soowe jina'n chala hai
taboot uth raha hai..
(6) Har ek ko mujtaba ke daste amee'n me deke
Abbas ko kiya hai Shabbir ke hawale
Ahmad ke janshee'n ki nazro'n mein karbala hai
taboot uth raha hai..
(7) Abdullah aur muslim hai jaa'n balab alam se
fat-ta hai unka seena is dilfigaar ghum se
kyu kar na ho wo girya zere kafan chacha hai
taboot uth raha hai..
(8) Ek pal nahi hai raahat ashaab e bawafa ko
kaise karein wo rukhsat maula e ambiya ko
azme malaeka mein mehshar bapa hua hai
taboot uth raha hai..
(9) Kaunain ke ghumo se ye ghum azeemtar hai
is waaste hi logo 'afroz' nauhagar hai
ye ghum rahe salamat ghumkhwar ki dua hai
taboot uth raha hai..