Zainab pe yatimi ki ghadi aa gayi baba

- Miscellaneous (2014)


Zainab Pa yateeme ki ghadi aagayi baba ..2
bin baap ki kehlati hai beti Teri baba 
Zainab pa yateeme ki ghadi aagayi baba 

Amma nahi nana nahi aur tum bhi sidhare ..2
kis mod pe le aayi hame zindagi baba 
Zainab pe yateeme ki ghadi aagayi baba 

Kitne hi yateemo ko diya tum ne dilasa ..2
ab hum ko dilasa nahi deta koi baba 
Zainab pe yateeme ki ghadi aagayi baba 

Zakhmi hua Sar aapka Allah ke ghar me ..2
raas aapko aayina faza khufe ki baba
Zainab pe yateeme ki ghadi aagayi baba 

Ik aapke dam Se mere jine ka maza tha ..2
ab Mujhse zamane ne khushi chinli baba
Zainab pe yateeme ki ghadi aagayi baba 

Zainab yehi kehti thi Rashid ashk bahakar ..2
ab hogayi viraan faza khufe ki baba 
Zainab pe yateeme ki ghadi aagayi baba