Kufe ki faseelo pe ujala hai ali ka

- Rizwan Rizvi (2018)


Kufe ki faseelo pe ujala hai ali ka  Zainab tere takrir mai lehja hai ali ka   Quraan zabaan hai labe tatheer e takalum Alfaz hain zainab ke karishma hai ali ka   Hain jumla ,sharaf mamlakaate ,nuqte ba mai Quraan e khuda ek qasida hai ali ka   Lehje mai hai quraan e saloni ke balaghat Hoton pe chamakta huwa khutba hai ali ka   Woh manzile meraaj hai yeh kahan e haider Kausaan mohammed ka hai kabba hai ali ka   Bolega abhi haider karaar ka mesaam  Fitrat ke takaazat pe qabza hai ali ka   Udh jaige khud he rasan o daar ki dhaji Mesaam ke dhan mai labo lehja hai ali ka   Batil.ke jabin par hai zawaal e shab e.Gurbat Abbas ke maate pe ujala hai ali ka   Ankhon mai samata nhi do lakh ka lashkar Abbas ke seene mai kaleja hai ali ka   Jari hai razi aaj bhi maula ke sakawaat Mamnoon e karam sara zamana hai ali ka