Ali ali haider

- Farhan (ALI WARIS) (2018)


Ali ali haider.. Ali ali haider
Ali haider, ali haider..(2)
Abhi to binte asad thi tawaaf e kaaba mein
Ke pattharo me Khushi se ajab hi laali thi
Khuda ka shukr ke, ek samt ruk gayi warna
Har ek samt se deewaar phatne wali thi

Nafs e nabi, Shere khuda, Zehra ka shauhar
Maula mera, Aaqa mera, Saqiye kausar
Ali ali haider, haider..ali ali haider

1. Aake zameeno ko khud aflaak ne chuma
Bayt e khuda wajd me kuch aur bhi jhooma
Bint e asad aayi to kaabe mein bana darr
Ali ali haider, haider..ali ali haider

2. Bint e asad kehne lagi maajra hai kya
Aankh nahi kholta dekhe mera baccha
Bole nabi bhai ko haatho'n pe utha kar
Ali ali haider, haider..ali ali haider

3. Duniya ko dekhna bhi gawara nahi kiya..(2)
Jab tak Ali ne dekha na chehra Rasool ka..(2)
Shere khuda na banta to banta bhi aur kya
Bachpan hi se jo paala (hua tha rasool ka)..(2)
Ye bhi ali wali ki fazeelat hai ek badi..(2)
Jo hai ali ka shajra wo shajra rasool ka
Rabb ki qasam ali hai to hai wo pehla natawa
Jisne padha hai pehla qasida rasool ka
Ali ali haider, haider..ali ali haider

4. Naam e ali rabb ne baharo pe bhi likkha
Chand pe, suraj pe, sitaro pe bhi likkha
Naam yehi likkha tha jibreel ke parr par
Ali ali haider, haider..ali ali haider

5. Haan teri qismat bhi sawar jayegi pyaare
Doobti kashti bhi ubhar jayegi pyaare
Bola khuda Nooh se tu wird yehi kar
Ali ali haider, haider..ali ali haider

6. Jung ke maidan mein chaliswa din tha
Naade ali padhke nabi ne jo pukara
Aaye ali jis ghadi khaibar ka uda darr
Ali ali haider, haider..ali ali haider

7. Yaad dilata hu tumhe khum ka nazara
Jis ghadi sarkaar ne man kunto pukara
Kehne laga wajd mein as'haab ka lashkar
Ali ali haider, haider..ali ali haider

8. Shank ke ye gunji ye naubat ki sadayein
Saare zamane ko ye paigham sunaye
Naara lagate the ye shahbaaz qalandar
Ali ali haider, haider..ali ali haider

9.Zille raza ho ke ho Farhan ali ho
Dono ka maqsad hai bayaa'n shane ali ho
Sab sare mehfil padhe hatho'n ko utha kar
Ali ali haider, haider..ali ali haider
Haider. Haider