Wo ghar ke hukm jahan

- Mir Hasan Mir (2018)


Sayyada, tahera, raaziya, marziya..(2)
Wo ghar ke hukm jaha'n Fatima ke chalte hai..(2)
Tamaam kaam wahi'n se..(2)
khuda ke chalte hai...
Wo ghar ke hukm jaha'n...

Tamaam kaam wahi'n se..(2)
khuda ke chalte hai...
Wo ghar ke hukm jaha'n...

Ye kaisi raah guzar hai, ye kaun sa darr hai..(2)
Ke Mustafa bhi yaha'n sarr jhuka ke chalte hai
Wo ghar ke hukm jaha'n...

Jabee'n pe fakhr se rumaal e Sayyeda bandhe..(2)
amame walo'n me hurr muskura ke chalte hai
Wo ghar ke hukm jaha'n...

Ke jaise haath me al-maeda ka sura ho..(2)
malak yu rotiya'n teri uthake chalte hai
Wo ghar ke hukm jaha'n...

Bana na le koi duniya uthake wo mitti..(2)
yu nakhshe paa tere Haider chupa ke chalte hai
Wo ghar ke hukm jaha'n...

Ae hurr na ghabra ye karbobala ki basti hai..(2)
yaha'n pe faisle aale abaa ke chalte hai
Wo ghar ke hukm jaha'n...

Ye tere faaqo'n ka sadqa hai aye Hussain ki maa..(2)
jo ghar sukoon se ehle azaa ke chalte hai
Wo ghar ke hukm jaha'n...

Kaha ajal se takallum ne intezaar karo..(2)
sana e Fatema Zahra sunake chalte hai
Wo ghar ke hukm jaha'n...

Tamaam kaam wahi'n se..(2)
khuda ke chalte hai...
Wo ghar ke hukm jaha'n...