Hussain kishti e ummat ko thamne wale

- Miscellaneous (2014)

Hussain (a.s.) Kishti-e-Ummat Ko Thammne-Wale,
Dar e Hujoor Par Haazir Hain Maangne-Waale.

Hussain Bigde Muqhaddar Sawaarne-Walee,
Hussain Girte Huwe Ko Sambhaalne-Walee,
Hussain Aai Balaaon Ko Taalne-Walee,

Hussain (a.s.) Kishti-e-Ummat Ko Thaamne-Waale,
Dar e Hujoor Pe Haazir Hain Maangne-Waale.

Hujoomey Fiker Se Ab Dam Laboon Pe Ayaa Hae,
Hussain Aapne Lakhown Ka Ghar Banaya Hae,
Hujoom E Gham Se Andhera Nazar Mey Chaya Hai,

Hussain (a.s.) Kishti-e-Ummat Ko Thaamne-Waale,
Dar e Hujoor Pe Haazir Hain Maangne-Waale.

Nabi Ki Tum Ko Nabuwat Ka Waasta Moula,
Ali Ki Tum Ko Imaamat Ka Wasta Moula,
Khuda Ki Aap Ko Azmat Ka Waasta Moula.

Hussain (a.s.) Kishti-e-Ummat Ko Thaamne Waale,
Dar e Hujoor Pe Haazir Hain Maangne-Waale.

Tumhien To Bigde Muqhaddar Banaane Waale Hain,
Tumhien To Ranj-O-Alam Se Chudaane Walee Hain,
Gule Muraad Se Daaman Ko Bharne Waale Ho.

Hussain (a.s.) Kishti-e-Ummat Ko Thaamne-Waale,
Dar e Hujoor Pe Haazir Hain Maangne-Waale.

Jawaani-E-Ali Akbar Ka Waasta Aaqha,
Shahaadat-e-Ali Asghar Ka Waasta Aaqha,
Sakina Piyaasi Ki Furqhat Ka Waasta Moula.

Hussain (a.s.) Kishti-e-Ummat Ko Thaamne-Waale,
Dar e Hujoor Pe Haazir Hain Maangne-Waale.

Tumein Mashiyate Qhaaleq Ho Aur Kis Se Kahaen,
Kahaan Tak Gham-o-Andowh Apne Dil Per Sahaen,
Be-Haqhe Zainab-o-Kulsoom Bigde Kaam Bane.

Hussain (a.s.) Kishti-e-Ummat Ko Thaamne Waale,
Dar e Hujoor Pe Haazir Hain Maangne-Waale.

Bahut Hi Qhalb Sisakta Hae Na-Ummiedi Se,
Hazarown Tokeraen Khain Hain Bad-Nasibi Se,
Badal Daen Aap Muqhaddar Ko Khush-Nasibi Se,

Hussain (a.s.) Kishti-e-Ummat Ko Thaamne-Waale,
Dar e Hujoor Pe Haazir Hain Maangne-Waale.

Hijaab Aankhown Se Rowza Lagaane Aai Hae,
Hijaab Ashk Aqhidat Chadhaane Aai Hae,
Hijaab Jaavedaan Qhismat Banaane Aai Hae.