Kabal me kunba luta kar zainab madine chali
- Anjumane Ghulaman e masoomeen (2015)
Karbal me kunba luta kar zainab madine chali hai
Din e Mohammed bacha kar zainab madine chali hai
Karbal me kunba luta kar zainab madine chali hai
Bazar se woh guzarna darbar se woh guzarna
Be maqna binte Ali ka chadar talab karte rehna
Chadar talab karte rehna
Parda bhi haq pe luta kar zainab madine chali hai
Pursa do shaahe umam ko shaahe zaman khasta tan ko
Ibne Ali bekafan ko abbas o ibne hasan ko
Abbas o ibne hasan ko
Maqtal me kunba luta kar zainab madine chali hai
Hai be kajawa jamal sab kisko pukaregi zainab
Sar par nahi koi juzrab kisko pukaregi zainab
Kisko pukaregi zainab
Sad maate sad gham utha kar zainab madine chali hai
Kohe alam chha gaya hai zindan e sham aa gaya hai
Sajjad khu'n ro raha hai zindan e sham aa gaya hai
Zindan e sham aa gaya hai
Qabre sakina bana kar zainab madine chali hai
Aun o Mohammed ki babat shauhar ne puchha agar toh
Sar ko jhuka kar kahegi be maqna kya apne sar ko
Be maqna kya apne sar ko
Bhai pe bachche luta kar zainab madine chali hai
Zainab yeh kaarnama kya bhool paye zamana
Khud sham me jisne sheh ka farshe aza tha bichhaya
Farshe aza tha bichhaya
Jannat ka rasta dikha kar zainab madine chali hai
Shayad tasawwur me khoyi hai mustafa ki nawasi
Kya dekhti hai ke sughra qabre sakina pe aayi
Qabre sakina pe aayi
Sughra se aankhe bachakar zainab madine chali hai
Boli yeh qabre jari par ro ro ke zahra ki dukhtar
Main jaa rahi hu madine zimma sakina ka tumpar
Zimma sakina ka tumpar
Mil lena tum usse jaa kar zainab madine chali hai
Karbal me kunba luta kar zainab madine chali hai.....