Parcham mai hu abbas ka parcham

- Naqvi Brothers (2018)


Parcham mai hu Abbas ka parcham (4)

(1) Huseniyo ka nishan Husainiyat ka nisahan
Hu dine Ahemad ki mai manzilat ka nishan
Mai is jahan ka nishan mai Aakebat ka nishan
Mitake rakh dunga munafeqat ka nishan
Hai daste haidare karrar ne uthaya mujhe......
Esi liye to hu ucha....Parcham ..

(2) Imam bado me mujhe sajate hai
Meri ziyarat ko tamam aate hai
Dua jab apni vo mujhe sunate hai
Mere vasile se murad pate hai
Khuda bhi mere vasile se sun raha he dua.......
Esi liye to hu Ucha......Parcham....

(3) Panjetan pak ki panje me dua rakhta hu
Sath zahera ki me har vaqt ata rakh ta hu
Masq me Bali Sakina ki sada rakhta hu
Aur fir usko kaleje se laga rakhta hu
Karam hai mujpe bahot hi bada sakina ka.....
Esi liye to hu Ucha......Parcham...

(4) Vo puchte hai k kya mere farere mai
Ajab he raz chupa hai mere farere mai
Ye khuld jaisi hava hai mere farere mai
Bimariyo ki shifa hai mere farere mai
Mariz meri hava se sifa ye pate hai......
Esi liye to hu uncha......Parcham....

(5) Julus o matam mai mujhe uthate hai
To pahele phulo  se mujhe sajate hai
Jo phul Parcham se bikharte hate hai
To log bad bad kar unhe uthate hai
Hai mere phul pe jaise sabhi maraz ki dava......
Esi liye to hu uncha......Parcham.....

(6) Vo zere karbobala mai khun rota raha
Jari ne hatho mai mujhe uthaya tha
Sakina bibi ki bhi masq thi mujhme
Naher ki zanib jab mai masq leke chala
To mujhko ghazi ne dariya mai Jake ghada tha....
Esi liye to hu uncha....Parcham..

(7) Kisine hath Jo daya qalam kiya uska
To baye hath mai phir usne mujhko thama tha
Jo meri masq chidi vo daya hath kata
Jari zamin pe gira to mai zamin pe gira
Hamesa raheta hu ghazi ke sog mai duba....
Esi liye to hu uncha....Parcham......

(8) Zari ne roke kaha k ay mere aaka
Na mere lashe ko khaimeme leke jaiyega
To lashae ghazi ko uthaya na sheh me
Utha ke mujh ko chale vo apne khaimo mai
Mere vajud mai bikhri hui hai karbobala......
Esi liye to hu uncha...Parcham.....

(9) Mera Jo ziqr Rehan aur Suhail karte hai
Duaye ghazi alamdar khub pate hai
Jo apne ghar mai adab se mujhe sajate hai
Hum ek roz unhe Karbala bulate hai
Sada alam se ye aati hai ab talaq Haider......
Esi liye to hu uncha.....Parcham...

Parcham mai hu Abbas ka parcham.. (4).