Sajjad ko har gham bhool gaya

- Mir Hasan Mir (2009)


Sajjad ko har gham bhool gaya
bus sham mein jana yaad raha

Baaghi ka beta sun sunkar
wo patthar khana yaad raha

Kaisi shadi kaisi khushiya'n
sab bhool gaye the zainul ebaa
shabbir ki ghurbat par har pal..(2)
bus ashk bahana yaad raha

Beemar musafir khud apne
paao ke chhale bhool gaya
lekin ummat ka zainab ko..(2)
kaato'n pe chalana yaad raha

Manga tha kaneezi mein jis dum
zalim ne sakina bibi ko
par karb phuphi ka bacchi ko..(2)
pehlu mein chupana yaad raha

Baba ka zamana bhool gaya
dada ka zamana bhool gaya
abid ko faqat maa phupiyo ka..(2)
darbaar mein jaana yaad raha

Khud ne patthar khaye lekin
kuch yaad nahi sab bhool gaya
par muztar bacchi sakina ko..(2)
zalim ka satana yaad raha

Khud zanjeero'n se jakde the
ye ghum na yaad raha lekin
zindaa'n mein apni behna ki..(2)
turbat ka banana yaad raha