Sajjad zara ahista

- Irfan Haider (2018)


Haye haye
Aijaz e Imamat se SAJJAD chale aaye

KARBALA, KARBALA
Aur Ganj e Shaheeda me begoro kafan laashe, SAJJAD ne dekhe
SHABBIR  ke maqtal me, SAJJAD juhi pohonche
Awaaz yeh aati thi, SHABBIR ke laashe se

Aao aye beta, do hume pursa, in shaheedon ka

Dafn karne mujhe tu aaya hai
Dhyaan rakhna magar mere laal
Main hu zakhmi badan, pehnana kafan

(SAJJAD zara ahista) ..(2)
Main hu zakhmi badan
(SAJJAD zara ahista) ..(2)

(1) (Aye khudawand e gham) ..(2)
Tujhpe khud bhi masaeb ka saaya hai
Tera ehsaan hai bekafan ko kafan dene aaya hai
Mera tashna dahan, pehnana kafan

(SAJJAD zara ahista) ..(2)
Main hu zakhmi badan
SAJJAD zara ahista

(2) (Tu akela hain aur) ..(2)
Dafn karne ko laashein bahattar hai
Khaaq par sabke tan hai magar sar sabhi ke sina par hain
Aye sabhi khastatan, pehnana kafan

(SAJJAD zara ahista) ..(2)
Main hu zakhmi badan
SAJJAD zara ahista

(3) (Dafn karna pisar) ..(2)
Humshabihe PAYAMBAR ka tum lasha
dhyaan rakhna magar, zakhmi seena hai us jaan e madar ka
Ho na koi dukhan, pehnana kafan

(SAJJAD zara ahista) ..(2)
Main hu zakhmi badan
SAJJAD zara ahista

(3) (Sabke lashe tujhe) ..(2)
Mil hi jayenge maqtal me aye qaidi
Dhundhna dasht me ek gathri me hai laash QASIM ki
Hain woh IBN E HASAN, pehnana kafan

(SAJJAD zara ahista) ..(2)
Main hu zakhmi badan
SAJJAD zara ahista

(4)(Lashe ABBAS ko) ..(2)
Baad me uske marqad me le jana
Dono baazu juda hain, unhe dhundhkar pehle le aana
Woh hain saqqa e mann, pehnana kafan

(SAJJAD zara ahista) ..(2)
Main hu zakhmi badan
SAJJAD zara ahista

(5) (Lene jao jo tum) ..(2)
Neher se laashe AUN O MOHAMMAD ke
Maa to royi nahi, inke laashe pe tum rona Shehzaade
Dono hai gulbadan, pehnana kafan

(SAJJAD zara ahista) ..(2)
Main hu zakhmi badan
SAJJAD zara ahista

(6) (Saari fauj e KHUDA) ..(2)
Bekafan so rahi hai isi ban me
Shauzab o Jaun o Hurr hai, Habib aur GHAZI ke bete hai
Sab hai tashna dahan, pehnana kafan

(SAJJAD zara ahista) ..(2)
Main hu zakhmi badan
SAJJAD zara ahista

(7) (Shaam e ghurbat bhi hain) ..(2)
Yaad bazaar o zindaan hai tujhko
Mazhar e ranj o gham, mere gham ka to Irfan hai tujhko
Main hu zakhmi badan, pehnana kafan

(SAJJAD zara ahista) ..(2)
Main hu zakhmi badan
SAJJAD zara ahista